Visit our other dedicated websites
Asha Bhonsle Geeta Dutt Hamara Forums Hamara Photos Kishore Kumar Mohd Rafi Nice Songs Shreya Ghoshal
Hamara Forums

Welcome Guest ( Log In | Register )

Duniya Mein Badshah Hai

 
 
Reply to this topicStart new topic
> Duniya Mein Badshah Hai
r&d
post Jul 24 2010, 07:08 AM
Post #1


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 3578
Joined: 2-April 05
Member No.: 1955



Aaaaaaaaaa
Duniya Mein Badshah Hai
Toh Hai Woh Bhi Aadmi
Aur Muflison Gadha Hai
Toh Hai Woh Bhi Aadmi
Duniya Mein Badshah Hai
Toh Hai Woh Bhi Aadmi

Fanko Se Mar Gaya Hai
Toh Hai Woh Bhi Aadmi
Are Murga Jo Kha Raha Hai
Toh Hai Woh Bhi Aadmi
Tukde Chaba Raha Hai
Toh Hai Woh Bhi Aadmi
Are Wah
Duniya Mein Badshah Hai
Toh Hai Woh Bhi Aadmi

Kaise Banaya Aadmi Ko Yaar Aadmi
Aaaaaaaaa
Hai Aadmi Ke Beech Mein Deewar Aadmi
Aaaaaaaaa
Thanhe Mein Ek Mein Hoon
Giraftaar Aadmi
Ik Thanedaar Thane Ka Muqtaar Aadmi
Lab To Lab To
Double Ki Rooti (2)
Chusam Sa Chusam Sa Chusam Sa
Nahin Toh Churfi
ENNNN
Churfi Churfi Churfi
ENNNN
Safari Chuna Kath Kath Kath
Hanson
HEEHEEEHE

Jo Mujhpe Hanse Raha Hai
Toh Woh Hai Woh Bhi Aaadmi
Are Wah
Duniya Mein Badshah Hai
Toh Hai Woh Bhi Aadmi

Aaaaaaaaaa
Ye Paisa Aadmi Se Jo
Chahe Wohi Karaye
Ghode Ke Badle Aaadmi
Riksha Mein Jota Jaiye
Aaaaaaaaaa
Har Aadmi Ko Hai Padi
Paise Ki Haye Haye
Haye Haye (2)

Paisa Dhela
Haye Haye
Jag Ka Mela
Haye Haye
Hai Akela
Haye Haye
Jaye Akela
Haye Haye
Aankh Ka Ranjan
Haye Haye
Raat Ka Manjan
Haye Haye
Saath Nikale
Haye Haye
Jaan Ke Laale
Haye Haye
Sue Bachale
Haye Haye
Giraftari
Haye Haye
Bombari
Haye Haye
Duniyadari
Haye Haye
Chor Bazari
Haye Haye
Thekadari
Haye Haye (5)
Haayee


-- J. Nakshab

This post has been edited by r&d: Jul 24 2010, 10:49 AM
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Anupama
post Jul 29 2010, 03:54 AM
Post #2


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 3693
Joined: 24-October 05
Member No.: 3042



Rajnishji, it's a coincidence that I was listening to this song a few days ago. I also heard another song similar to this song from Duniya Jhukti Hai, which is also sung by Rafi sahab n Bande Hasan (Lyricist - Rajnedra Krishan).
Both songs contain the same opening lyrics but are credited to two different lyricists. Upon researching, I found out that the opening lines were penned by the poet Nazir Akbarabadi (Nazm - Aadmi Nama). The lyrics you posted seem like a pure parody of Aadmi Nama by Nazir Akbarabadi!
here are the lyrics for both the songs:

Film – Duniya Jhukti Hai 1960
MD – Hemant Kumar
Lyricist – Rajendra Krishan & Nazir Akbarabadi
Singer(s) – Mohd.Rafi, Bande Hasan & Chorus



Mohd.Rafi: Duniya Mein Baadshah Hai, So Hai Woh Bhi Aadmi
Aur Muflis-o-Gadaa Hai, So Hai Woh Bhi Aadmi
Bande Hasan: Aaaaa (Alaap) Zardaar-o-Benawaa Hai, So Hai Woh Bhi Aadmi
Mohd.Rafi: Naimat Jo Khaa Raha Hai, So Hai Woh Bhi Aadmi
Aaaaaaaa
Jo Bijliyon Ki Shaakh Pe Bana Le Aashiyaana (2)
Usi Ki Hai Yeh Zindagi, Usi Ka Hai Zamaana (2)
Chorus: Jo Bijliyon Ki Shaakh Pe Bana Le Aashiyaana
Usi Ki Hai Yeh Zindagi, Usi Ka Hai Zamaana
Jo Bijliyon Ki Shaakh Pe Bana Le Aashiyaana (2)……….

Bande Hasan: Kisi Ko Fakhr Zamaane Mein Hai Sharafat Ka
Mohd.Rafi: Guroor Sar Mein Kisi Ke Hai Maal-o-Daulat Ka
Kisi Ko Fakhr Zamaane Mein Hai Sharafat Ka
Chorus: Kisi Ko Fakhr Zamaane Mein Hai Sharafat Ka
Mohd.Rafi: Guroor Sar Mein Kisi Ke Hai Maal-o-Daulat Ka
Haaye
Chorus: Guroor Sar Mein Kisi Ke Hai Maal-o-Daulat Ka
Bande Hasan: Aaaaaaaa Aur Kahun Patte Ki Wohi Mard Mard-e-Maidan Hai
Mohd.Rafi: Aaaaaa Jise Ho Naaz Faqat Baazuon Ki Taaqat Ka
Woh Aadmi Hai Aadmi, Woh Mard Hai Yagaana
Chorus: Woh Aadmi Hai Aadmi, Woh Mard Hai Yagaana
Mohd.Rafi: Usi Ki Hai Yeh Zindagi, Usi Ka Hai Zamaana
Chorus: Usi Ki Hai Yeh Zindagi, Usi Ka Hai Zamaana (2)
Mohd.Rafi: Aaaaaaaaaaa
Chorus: Usi Ka Hai Zamaana (2)………..

Mohd.Rafi: Ada Ho Aisi Ke Jiska Koi Jawaab Na Ho
Aaaaaa Gunaah Kare Toh Gunhaaon Ka Phir Hisaab Na Ho
Ada Ho Aisi Ke Jiska Koi Jawaab Na Ho
Chorus: Ada Ho Aisi Ke Jiska Koi Jawaab Na Ho
Mohd.Rafi: Gunaah Kare Toh Gunhaaon Ka Phir Hisaab Na Ho
Chorus: Gunaah Kare Toh Gunhaaon Ka Phir Hisaab Na Ho
Bande Hasan: Aaaaaaaa Jo Apni Zaat Pe Ho Aadmi Ko Poora Yaqeen
Aaaaaa Toh Kya Mazaal Ke Qadamon Mein Aaftaab Na Ho
Mohd.Rafi: Aaaaaaaaa Maza Hai Aashiqi Ka Jab Ada Ho Aashiqaana
Chorus: Maza Hai Aashiqi Ka Jab Ada Ho Aashiqaana

Mohd.Rafi: Usi Ki Hai Yeh Zindagi, Usi Ka Hai Zamaana
Chorus: Usi Ki Hai Yeh Zindagi, Usi Ka Hai Zamaana (2)
Mohd.Rafi: Aaaaaaaaaaa
Chorus: Usi Ka Hai Zamaana (2)………..

Mohd.Rafi: Jo Faiz Ki Hai Tamanna Toh Seekh Faiyaazi
Chorus: Jo Faiz Ki Hai Tamanna Toh Seekh Faiyaazi
Mohd.Rafi: Ke Faiz Se Nahin Badh Kar Bada Koi Qaazi
Chorus: Ke Faiz Se Nahin Badh Kar Bada Koi Qaazi
Mohd.Rafi: Heyyyy Ya Aha!
Yeh Cheez Woh Hai Jo Khud Tere Kaam Aayegi
Jo Tujhse Khalq Hai Khush Toh Khuda Bhi Hai Raazi
Karam Toh Kar, Magar Tera Karam Ho Gaibaana
Chorus: Karam Toh Kar, Magar Tera Karam Ho Gaibaana
Mohd.Rafi: Usi Ki Hai Yeh Zindagi, Usi Ka Hai Zamaana
Chorus: Usi Ki Hai Yeh Zindagi, Usi Ka Hai Zamaana (2)
Mohd.Rafi: Aaaaaaaaaaa
Chorus: Usi Ka Hai Zamaana
Usi Ka Hai Zamaana
Usi Ka Hai Zamaana!!!!


Muflis = Poor, Destitute
Gadaa = Beggar, Poverty
Zardaar = Rich Man
Benawaa = Poor, Destitute
Naimat = Blessing, Boon, Bounty
Fakhr = Boasting, Egotism, Glory, Honor, Pride
Faqat = Alone, End, Merely, Only
Yagaana = Unique, Single, Sole, Agreed, Unequalled, Kinsman, Kindred
Faiz = Liberality, Grace, Bounty, Profit
Faiyaazi = Beneficent, Benevolence, Bounty, Kind Hearted, Large, Liberality
Qaazi = Judge
Gaibaana = Absent
Khalq = World


User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Anupama
post Jul 29 2010, 03:57 AM
Post #3


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 3693
Joined: 24-October 05
Member No.: 3042



Aadmi Nama
Nazeer Akbarabadi.

duniya mien badshah hai so hai woh bhi aadmi
aur muflis o gada hai so hai woh bhi aadmi
zar dar be nawa hai so hai woh bhi aadmi
ne'amat jo kha raha hai so hai woh bhi aadmi
tukde jo mangta hai so hai woh bhi aadmi

abdaal o qutb o ghaus o wali aadmi hui
munkar bhi aadmi hue aur kufr se bhare
kya kya karishme kashf o karamat ke kiye
had ta ke apne zor o riyazat ke zor pe
khaliq se ja mila hai so hai woh bhi aadmi

fir'aun ne kiya tha jo daawa khudai ka
shaddad bhi bahisht bana kar hua khuda
namrud bhi khuda hi kahaata tha bar mala
yeh baat hai samajhne ki aage kahoon main kya
yan tak jo ho chuka hai so hai woh bhi aadmi

yan aadmi hi naar hai aur aadmi hi noor
yan aadmi hi paas hai aur aadmi hi door
kul aadmi ka husn o qaba mien hai yaan zahoor
shaitaan bhi aadmi hai jo karta hai makr o zor
aur haadi, rehnuma hai so hai woh bhi aadmi

masjid bhi aadmi ne banai hai yan miyan
bante hain aadmi hi imaam aur khutba khwan
padhte hain aadmi hi namaaz aur quran yan
aur aadmi hi un ki churaate hain jootiyan
unko jo tadhta hai so hai woh bhi aadmi

yan aadmi pe jaan ko ware hai aadmi
aur aadmi hi tegh se maare hai aadmi
pagrhi bhi aadmi ki utaare hai aadmi
chilla ke aadmi ko pukare hai aadmi
aur sun ke daudhta hai so hai woh bhi aadmi!

http://www.youtube.com/watch?v=mK4V9Izwzt8

http://www.urdunet.com/roman/romurduadab/ghazals/page51.htm

http://chaakgaribanwale.blogspot.com/2009/07/aadmi-nama.html


User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
r&d
post Jul 29 2010, 07:30 AM
Post #4


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 3578
Joined: 2-April 05
Member No.: 1955



anupama ji,

great find. Parody of poem that must be a first.

I just looked up "So" in urdu dictionary and it
translates to "Hundred". I had it "So" but I
changed to "Toh" because in the second verse
it sounds like "Toh" but first verse is "So"

I was listening to "Duniay Jhukti Hai" qawwali
last month. I can't believe it I didn't remember same lines.
Oh Well.

The youtube video is kind of ridiculous
showing Darwin as the unbeliever.
Darwin was extremely religious.
That just shows that people have
no problem using science and technology
but if it shows their truth is not the real
truth then you get called kufr.
Blue Earth image that he kept showing
was made because of the so called unbelievers
not to talk about computer, internet, google or youtube.
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Anupama
post Jul 30 2010, 04:31 AM
Post #5


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 3693
Joined: 24-October 05
Member No.: 3042



QUOTE(r&d @ Jul 28 2010, 10:00 PM) *

anupama ji,

great find. Parody of poem that must be a first.

I just looked up "So" in urdu dictionary and it
translates to "Hundred". I had it "So" but I
changed to "Toh" because in the second verse
it sounds like "Toh" but first verse is "So"

I was listening to "Duniay Jhukti Hai" qawwali
last month. I can't believe it I didn't remember same lines.
Oh Well.

The youtube video is kind of ridiculous
showing Darwin as the unbeliever.
Darwin was extremely religious.
That just shows that people have
no problem using science and technology
but if it shows their truth is not the real
truth then you get called kufr.
Blue Earth image that he kept showing
was made because of the so called unbelievers
not to talk about computer, internet, google or youtube.


Rajnishji, the word "So" in Urdu means "compare to".
Check this site:
http://www.ebazm.com/cgi/dict/db.cgi?db=de...ecords&nh=4

This is a gr8 online Urdu dictionary.
lol yes, that youtube video was kinda absurd. He could have done better job at selecting the pictures to match the audio.

User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
r&d
post Jul 7 2011, 08:43 AM
Post #6


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 3578
Joined: 2-April 05
Member No.: 1955



Anupama ji, I found vinyl version of the song with the length of 6:29.
It has extra stanzas.

http://www.youtube.com/watch?v=ulIbsHWro1c

Ye Sab Jo Kar Raha
So Hai Wohi Bhi Aadmi

Har Aadmi Ko Padi Paise Ki Hai Hai
Paise Ke Khatir Aadmi
Bandar Kahin Naache

Garapapaga
Sasaagapaa
Gagapamaps
Sareeeeega

Mein Bhi Hun Ek Aaadmi Chakram Hai Mera Naam
Hindu Ko Raam Raam
Musalmaan Ko Salaam

Do Boot Ek Suit Se Chalta Hai Apna Kaam
Atom Ke Bomb Ka Hai Koi Aadmi Ghulaam
Jo Humne Chahata Hai
So Hai Wohi Bhi Aadmi
Duniya Mein Baadshah Hai
So Hai Wohi Bhi Aadmi

This post has been edited by r&d: Jul 7 2011, 09:02 AM
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post

Reply to this topicStart new topic
1 User(s) are reading this topic (1 Guests and 0 Anonymous Users)
0 Members:


 



- Lo-Fi Version | Disclaimer | HF Guidelines | Be An Angel Time is now: 19th March 2024 - 02:51 PM