Visit our other dedicated websites
Asha Bhonsle Geeta Dutt Hamara Forums Hamara Photos Kishore Kumar Mohd Rafi Nice Songs Shreya Ghoshal
Hamara Forums

Welcome Guest ( Log In | Register )

Sir Mohammed Iqbal

, Ideologist/Poet/Philosopher/Spiritualist

 
3 Pages V < 1 2 3 >  
Reply to this topicStart new topic
> Sir Mohammed Iqbal, Ideologist/Poet/Philosopher/Spiritualist
BadaBhai
post Aug 29 2005, 10:55 PM
Post #16


Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 68
Joined: 13-July 05
Member No.: 2774



SIR MOHAMMED IQBAL

Anokhi waz-aa hai saaray zamaanay say niraalay hai
Ye aashiq kaun si busti ke yaa rub rehnay waalay hai

Ilaaj-e-dard may bhi dard ki lajjat pay rotaa hoo-n
Jo thay chaalo-n may kaantay, nok-e-sozen say nikaalay hai

Phalaa phoola rahe yaa rub, chaman meri oomeedo-n ka
Jiger ka khoon day day kar, yeh bootay mai nay paalay hai

Roolaati hai mujhe raato-n ko khaamoshi sitaaro-n ki
Niraala ishq hai mera, niraalay mere naalay hai

Na poocho mujh say lajjat, khaanmaa berbaad rehnay ki
Nasheemen saikdon mai nay banaa ker phoonk daalay hai

Nahi bay-gaangi ach-chi, rafeeq-e-raah-e-manzil say
Thaher jaa ai sharer hum bhi to aakhir mitnay waalay hai

Umeed-e-hoor nay sub kuch sikhaa rakh-kha hai waa-ij ko
Ye hazrat daykhnay may seedhay saaday ,bholay bhaalay hai

Mere ash-aar ai IQBAL kiyo-n piyaare na ho mujh ko
Mere tootay huway dil ke ye dard-angayz naalay hai


BB
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
desi
post Aug 31 2005, 07:56 PM
Post #17


Regular Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 410
Joined: 7-April 05
Member No.: 2012



sach kah duu.N ai brahman gar tuu buraa na maane
tere sanam kado.n ke but ho gaye puraane

apano.n se bair rakhanaa tuu ne buto.n se siikhaa
jang-o-jadal sikhaayaa vaa_iz ko bhii Khudaa ne

tang aake aaKhir mai.n ne dair-o-haram ko chho.Daa
vaa_iz kaa vaaz chho.Daa, chho.De tere fasaane

patthar kii muurato.n me.n samajhaa hai tuu Khudaa hai
Khaak-e-vatan kaa mujh ko har zarraa devataa hai

aa Gairat ke parde ik baar phir uThaa de.n
bichha.Do.n ko phir milaa de.n naqsh-e-du_ii miTaa de.n

suunii pa.Dii hu_ii hai muddat se dil kii bastii
aa ik nayaa shivaalaa is des me.n banaa de.n

duniyaa ke tiiratho.n se uu.Nchaa ho apanaa tiirath
daamaan-e-aasmaa.N se is kaa kalas milaa de.n

har subah mil ke gaaye.n mantar vo miiThe miiThe
saare pujaariyo.n ko mai piit kii pilaa de.n

shaktii bhii shaantii bhii bhakto.n ke giit me.n hai
dharatii ke baasiyo.n kii muktii priit me.n hai

User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
BadaBhai
post Aug 31 2005, 11:00 PM
Post #18


Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 68
Joined: 13-July 05
Member No.: 2774






SIR MOHAMMED IQBAL

ZINDAGI

Ber ter az andeshaa-e-sood-o-ziyaa-n hai zindagi
Hai kubhi jaan aur kabhi tasleem-e-jan hai zindagi!

Too issay paimaanaa-e-imroz ferdaa say na naap
Jaavidaa-n paihum dawaa-n, her dum jawaa-n hai zindagi!

Apni duniyaa aap paidaa ker ager zindo-n may hai
Seer-re Adam hai zameer-e-koon fakaa-n hai zindagi!

Zindagaani ki haqeeqat koh-ken kay dil say pooch
Joo-e-sheer-o-teeshaa-o-sung-gay garaa-n hai zindagi!

Bundagee may ghut kay reh jaati hai ek joo-e-kam aab
Aur azaadi may bayher-e-bay-karaa-n hai zindagi!

Aashkaara hai yeh apni qoowat-e-taskheer say
Ger cha ek mutti kay paiker may nihaa-n hai zindagi

Qoolzum-e-husti say too oobhraa hai maanind-e-hoobaab
Is ziyaa-n khaanay may tera imtihaa-n hai zindagi

Khaam hai jub tuk to hai mitti ka ek anbaar too
Pookhtaa ho jaaye to hai shamsheer-e-bay-zinhaar too!

Ho sadaaqat kay liye jis dil may mernay ki tadap
Pahlay apnay paiker-e-khaaki may jaa-n paidaa karay

Phoonk daalay ye zameen-o-aasmaan-e-moostaar
Aur khaak-aster say aap apna jahaa-n paida karay

Zindagi ki qoowat-e-pinhaa-n ko ker day aashkaar
Taa ye chingaari farogh-e-jaawidaa-n paida keray

Khaak-e-mashriq per chmak jaaye misaal-e-aftaab
Taa badakhshaa-n phir wohi laal-o-goher paida keray

Soo-e-gardoo-n naala-e-shab-geer ka bhayjay safeer
Raat kay taaro-n may apnay raaz-daa-n paida keray

Ye ghadi mehsher ki hai too arsaa-e-mehsher may nai!
Paysh ker ghaafil amal koi ager dafter may hai!




BB
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
YaarMere
post Sep 1 2005, 10:11 PM
Post #19


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 2897
Joined: 24-December 03
Member No.: 5



Nice to see all these ppl appreciating the Doctor's work. You sud read his essays.

I'm looking 4 help. There is a sher of his which goes sumthin like:

Na teri soorat se waaqif na teri seerat se aashnaa...


Can sum1 plz tell me the ful sher again

IPB Image
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
YaarMere
post Sep 2 2005, 12:25 AM
Post #20


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 2897
Joined: 24-December 03
Member No.: 5



QUOTE(YaarMere @ Sep 1 2005, 05:41 PM)
Nice to see all these ppl appreciating the Doctor's work. You sud read his essays.

I'm looking 4 help. There is a sher of his which goes sumthin like:

Na teri soorat se waaqif na teri seerat se aashnaa...


Can sum1 plz tell me the ful sher again
*



My mistake. The way it starts is:

Na teri seerat se waaqif, na teri soorat se aashnaa...

IPB Image
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
YaarMere
post Sep 2 2005, 05:36 PM
Post #21


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 2897
Joined: 24-December 03
Member No.: 5



I find it hard to believe that no1 here knows this. I mean wot? You guyz only copy n paste from the internet?

IPB Image
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
YaarMere
post Sep 2 2005, 10:00 PM
Post #22


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 2897
Joined: 24-December 03
Member No.: 5



QUOTE(Zaira @ Sep 2 2005, 04:50 PM)
QUOTE(YaarMere @ Sep 2 2005, 05:36 PM)
I find it hard to believe that no1 here knows this. I mean wot? You guyz only copy n paste from the internet?
*



~~
Relax YM! I sincerely tried to find out what sher u r talking abt but i couldnt really figure out!!
If i ever come across this sher--i will let u know--
Aur haan---at least i dont copy paste!!
~~

*



How reassuring of you dear.

IPB Image
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
ZUHA_ALI
post Sep 6 2005, 12:47 AM
Post #23


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1870
Joined: 13-March 05
Member No.: 1834



Tere ishq kii intahaa chaahataa huun
Merii saadagii dekh kyaa chaahataa huun

Sitam ho ki ho vaadaa-e-behijaabii
Koi baat sabr-aazamaa chaahataa huun

Ye jannat mubaarak rahe zaahido.n ko
Ki main aap kaa saamanaa chaahataa huun

Koi dam kaa mehamaan huu.n ai ahal-e-mahafil
ChiraaG-e-sahar huu.n bujhaa chaahataa huun

Bharii bazm me.n raaz kii baat kah dii
Badaa be-adab huun, sazaa chaahataa huun


****Sir Mohammed Iqbal*****




Never give up on the things that make you smile !!
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
BadaBhai
post Sep 9 2005, 04:34 PM
Post #24


Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 68
Joined: 13-July 05
Member No.: 2774



QUOTE(Zaira @ Sep 8 2005, 05:10 AM)
This is one of my favourites from Allama's work smile1.gif
Watch the sarcasm---Love it!!

KARRO HO

~~

Tum ghairon say hans hans kay mulaqaat karro ho
Aur hum say wohi zeher bhari baat karro ho

Bach bach kay guzar jao ho tum paas say meray
Tum toh ba khuda ghairon ko bhi maat karo ho

Daaman pay koi cheenth na khanjar pay koi daagh
Tum qatal karro ho keh karamaat karro ho??

Nishtar sa utar jaavay hai seenay mai humaarey
Jab maathey pay bal daal kay tum baat karro ho

Kia keh kay pukaarain gai tumhein log yeh socho
*Iqbal* yeh zulm toh tum din raat karro ho


**Allama Iqbal**

~~

*





A good gazal Zaira jee GR8

BB
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
BadaBhai
post Sep 9 2005, 10:21 PM
Post #25


Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 68
Joined: 13-July 05
Member No.: 2774



Sir Mohammed Iqbal



PRINDE KI FRIYAAD

Aata hai yaad mujh ko gujraa huwa zamaana
Woh baag ki bahaare-n woh sub ka cheh-cha-haana
Azaadiya-n kaha-n woh ab apne ghonslay ki
Apni khooshi se aana ,apni khooshi se jaana
Lagti hai chot dil per,aata hai yaad jis dum
Shabnum ke aansoo-on per kaliyo-n ka mooskuraana
Woh piyaari piyaari soorut,woh kaamni si moorut
Aabad jis ke dum se tha mera aashiyaana

Aati nahi sadaaen is ki mere qafus may
Hoti meri rehaai ai kaash mere bus may

Kiya budnaseeb hoo-n mai,ghar ko tras raha hoo-n
Saathi to hai watan may,mai qaid may pada hoo-n
Aai bahar kaliyaa-n phoolo-n ki hans rahi hai
Mai is andheray ghar may kismat ko ro raha hoo-n

Is qaid ka illahi dookhda kisay soonaao-n
Dar hai yahi-n qafas may, mai gum say mar na jaaoon

Jub say chaman choota hai yeh haal ho gaya hai
Dil gum ko kha raha hai,gum dil ko kha raha hai
Gaana issay samajh ker khoosh ho na soon-nay waale
Dookhtay huwe dilo-n ki fariyaad yeh sadaa hai

Azaad mujh ko ker day o qaid kernay waalay
Mai bay zubaa-n hoo-n qaidi, too chod ker dua lay!


BB
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
ZUHA_ALI
post Sep 9 2005, 11:31 PM
Post #26


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1870
Joined: 13-March 05
Member No.: 1834




Tere azad bando ki na yeh duniya na woh duniya
Yahan marnay ke pabandi,wahan jeenay ki pabandi


**Allama Iqbal**




Never give up on the things that make you smile !!
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
ZUHA_ALI
post Sep 14 2005, 10:56 PM
Post #27


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1870
Joined: 13-March 05
Member No.: 1834




Dunya ki mehfiloon say ukta gia hoon ya Rubb
Kia lutff anjuman ka jub dill hii bujh gia hoo
Shoorash say bhagta hoon, dill dhondta hay mera
Aesa sakoot jiss par Taqreer bhi fida hoo

**Allama Iqbal**




Never give up on the things that make you smile !!
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
ZUHA_ALI
post Sep 30 2005, 06:19 AM
Post #28


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1870
Joined: 13-March 05
Member No.: 1834




Kiyon ziyankaar banon,sood faramosh rahoon
Fikar farda na karon aur hama taan gosh rahoon
Hum nava mai bhi koi gul hoon ?
Nalay bulbul kay sunon aur khamosh rahoon


**Dr.Allama Iqbal**




Never give up on the things that make you smile !!
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
AzgarKhan
post Sep 30 2005, 01:14 PM
Post #29


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 4425
Joined: 23-January 04
From: New York (USA) / Hyderabad (India)
Member No.: 205



Teri mehfil bhi gai, chahne wale bhi gaye,
Shab ki aahen bhi gayi, subah ke nale bhi gaye

Dil tujhe de bhi gaye, apna sila le bhi gaye,
Aa ke baithe bhi na the, ke nikaale bhi gaye.

- Allama Iqbal

_______________________________________________________________________________
My Youtube Videos
Palestine belongs to the Arabs in the same sense that England belongs to the English or France to the French.
It is wrong and inhuman to impose the Jews on the Arabs. - Mohandas Karamchand Gandhi
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
ZUHA_ALI
post Sep 30 2005, 03:08 PM
Post #30


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1870
Joined: 13-March 05
Member No.: 1834





Hawas nay ker diyeh hai tukray noy-e-Insan ko
Akhuwat ka bayan ho ja,muhabbat ki zuban ho ja

**Allama Iqbal**




Never give up on the things that make you smile !!
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post

3 Pages V < 1 2 3 >
Reply to this topicStart new topic
1 User(s) are reading this topic (1 Guests and 0 Anonymous Users)
0 Members:


 



- Lo-Fi Version | Disclaimer | HF Guidelines | Be An Angel Time is now: 29th March 2024 - 02:19 AM