Visit our other dedicated websites
Asha Bhonsle Geeta Dutt Hamara Forums Hamara Photos Kishore Kumar Mohd Rafi Nice Songs Shreya Ghoshal
Hamara Forums

Welcome Guest ( Log In | Register )

Ghazal

 
 
Reply to this topicStart new topic
> Ghazal
desi
post Aug 1 2005, 11:48 PM
Post #1


Regular Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 410
Joined: 7-April 05
Member No.: 2012



Its my Fav Ghazal Pls read it.....

Main tera ajj hoon kal par nah dekh taal mujhe
main tera roop hoon joban main hi sanbhal mujhe

mere hi dum se hain teri yeh dharkanai'n zinda
main tera qalab hoon siney se mat nakal mujhe

main tere bakhat ka sika hoon yeh khayal rahe
yunhi faqeer ki jholi main tu nah daal mujhe

milain gay mujh main mohabat ke goher tujh ko
main teri chah ka sagar hoon kuch khangal mujhe

tu dharkanoo'n ko chorane ke fun se waqaf hai
tu dil ka chor hai itna nah tha khayal mujhe

usse khabar hai mere ghum hi maal hain mera
naye ghum se woh rakhta hai mala maal mujhe

main jin ko ley gaya bam-e-arooj par
woh muntazir hain ke kab aaye ga zawal mujhe
_________________
mujhey khud sey muhabbat hey

magr itni nahi jitni

merey sudaai ko mujh sey ..!!
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
ZUHA_ALI
post Aug 2 2005, 01:02 AM
Post #2


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1870
Joined: 13-March 05
Member No.: 1834



Gham-e-aashiqi se kah do raah-e-aam tak na pahunche
Mujhe Khauf hai ye tohamat mere naam tak na pahunche
Main nazar se pee rahaa thaa to ye dil ne bad-duaa di
Teraa haath zindagi bhar kabhi jaam tak na pahunche




Never give up on the things that make you smile !!
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
qhabibi
post Aug 2 2005, 03:04 AM
Post #3


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1543
Joined: 7-November 03
From: Islamabad, Pakistan
Member No.: 94



Guzre Dinon Ki Yaad Barasti Ghaata Lage
Guzroon Jo Us Gali Se To Thandi Hawa Lage

Mehmaan Ban Kar Aaye Kisi Roz Agar Woh Shaks
Us Roz Bina Sajaye Mera Ghar Saja Lage

Main Is Liye Manta Nahi Vasl Ki Khushi
Mere Raqeeb Ki Na mujhe Bud dua Lage

Tark-E-Wafa Ke Baad Yeah Us Ki Ada Qateel
Mujh Ko Saataye Koi Yo Us Ko Bura Lage



**************Qateel Shifai*************

..............QHabibi Most Wanted....................
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
desi
post Aug 17 2005, 10:19 PM
Post #4


Regular Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 410
Joined: 7-April 05
Member No.: 2012



jub b dil ney ki hey chand deikhney ki tumanna

hum chushm-e-tusuwar mein tera chehra saja leitey hein

kurti hein yeh nigahein her pul un ka tawaf

wo k hum ko deikhtey hi nuzrein churra leitey hein

jub dil ukta jata hey duniya k jhameilon sey

khud ko teri yad k anchul mein chuppa leitey hein

kabi to kheinch lai gi khulos ki door usay

yehi sooch k aj khud ko sumjha leitey hein

kurtey hein wo hi log duniya pur hukmurani

jo waqut ko b apna gulaam bunna leitey hein

kuch ajeeb sa hey yeh fulsfa-e-mohabuut ay ghazal

har k apna dil phir b sub kuch pa leitey hey








--------------------------------------------------------------------------------


User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
desi
post Aug 17 2005, 10:21 PM
Post #5


Regular Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 410
Joined: 7-April 05
Member No.: 2012



Singer : Mehndi Hassan ji...
Writer: not known

lijiye pesh-e-khidmat hai....meri ek manpasand gazal....

Jo chahte ho, vo kehte ho….
Chup rehne ki lazzat kya jaano…..
Ye raaz-e-mohabaat hai pyare….
Tum raaz-e-mohabaat kya jaano…..

Alfaaz kahan se laaon main…..
Jo sholon ki *tapak samjaaon to….
Izhaar-e-mohabaat karte ho…..
Ehsaas-e-mohabaat kya jaano……
Ye raaz-e-mohabaat hai pyare….
Tum raaz-e-mohabaat kya jaano…..

Kya husn ki bheekh bhi hoti hai……
Jab chutki-chutki judti hai……
Hum ehal-e-garab jaane isko…..
Tum sahib-e-daulat kya jaano…..
Ye raaz-e-mohabaat hai pyare….
Tum raaz-e-mohabaat kya jaano…..

Hai farq bada ae jaane raza…..
Dil lene mein dil dene mein……
Ulfat ka taalluk jaan ke bhi…..
Rishte ki nazaqat kya jaano…..
Ye raaz-e-mohabaat hai pyare….
Tum raaz-e-mohabaat kya jaano…..

Jo chahte ho, vo kehte ho….
Chup rehne ki lazzat kya jaano…..


User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
desi
post Aug 17 2005, 10:22 PM
Post #6


Regular Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 410
Joined: 7-April 05
Member No.: 2012



jub tuk teri yad ka diya julta raha

zeest mein gum ka undhera chut-ta raha

kurtey rehey jis ko sub paney ki tumanna

wo chand merey angun mein khud utterta raha

khil uthta hey jis ko deikhtey hi chehra

bahar aisi bun kur wo yahan ata raha

hur roz ik nay imthan mein dal kur

yon merey payar ko wo azmata raha

khawahan nehi hey wo muj sey wasal ka

ansoo jis k firaaq mein hur pul bahata raha

tukhra diya us ney mera jam-e-mohabbat ghazal

nasha jis ko paney ka hur roz burta raha



User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
ZUHA_ALI
post Aug 20 2005, 05:00 PM
Post #7


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1870
Joined: 13-March 05
Member No.: 1834



Dil bhii bujhaa ho shaam kii parachhaiyaan bhii ho.n
Mar jaa_iye jo aise me.n tanhaaiyan bhii ho.n

AaNkho.n kii surKh lahar hai mauj-e-suparadagii
Ye kyaa zaruur hai ke ab anga.Daa_iyaa.N bhii ho.n

Har husn-e-saadaa lau na dil me.n utar sakaa
Kuchh to mizaaj-e-yaar me.n geharaa_iyaa.N bhii ho.n

Duniyaa ke tazakire to tabiyat hii le bujhe
Baat us kii ho to phir suKhan aaraa_iyaa.N bhii ho.n

Pahale pahal kaa ishq abhii yaad hai 'Faraz'
Dil Khud ye chaahataa hai ke rusvaiyaan bhii ho.n




Never give up on the things that make you smile !!
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
ZUHA_ALI
post Aug 22 2005, 10:09 AM
Post #8


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1870
Joined: 13-March 05
Member No.: 1834



Harkat Ho Toh Koi Maqsat Ho
Sans Lenah Toh Koi Zindagi Nahi




Never give up on the things that make you smile !!
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
ZUHA_ALI
post Aug 22 2005, 11:22 AM
Post #9


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1870
Joined: 13-March 05
Member No.: 1834



Udaas mausam ke rat jagon main
Har ik lamha bikhar gaya hai
Har aik rasta badal gaya hai
Phir aise mausam main kon aae
Koi to jaae
Tere nagar ki musafaton ko samet laae
Teri gali main hamari sochen bikhair aae
Tujhe bataae ke kon kaise
Uchalta hai wafa ke moti tumhari janib
Koi to jaae meri zaban main tujhe bulaae
Tujhe manaae
Hamari halat tujhe bataae
Tujhe rulaae
To apne dil ko bhi chen aae




Never give up on the things that make you smile !!
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
desi
post Aug 23 2005, 09:36 PM
Post #10


Regular Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 410
Joined: 7-April 05
Member No.: 2012



Rukh se hatega parda aaj mere naseeb ka,
Kaisi milegi dulhan aaj lage ajeeb sa.

Bachhpan se ab talak, jehen mein thi basi hui,
Tasweer unki ban gayee mukaddar gareeb ka.

Suna kiye the daastaa.n unke mureedo.n ki,
Kuchh dooria.n hui, magar lage kareeb sa.

Dastak jo na umeedi mein unko diya kiye,
Ye jaankar bhi rishta ab bana saleeb sa.

Jakhmo.n se ban chuka hai dil pe har taraf mahel,
Dulhan wo ban gayee magar lagoo.n rakeeb sa.
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
ZUHA_ALI
post Aug 26 2005, 02:58 PM
Post #11


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1870
Joined: 13-March 05
Member No.: 1834




Phir Bandh li kise say umeed_e wafa qateel'
Phir ik mahal hawaon main tahmeer Ho gaya..




Never give up on the things that make you smile !!
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
desi
post Aug 31 2005, 08:47 PM
Post #12


Regular Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 410
Joined: 7-April 05
Member No.: 2012



Tujhper na mare to kya jiye


ye makhmal ka badan,or honthon pe gulaab ..
julfen jaise janzeeren,aankhon me sharaab ..
Kab tak sabr se hum kaam liye
Tujhper na mare to kiya jiye

tujhse choothen to teri julf pakad leti hai
labh se choothen to teri nazar jakad leti hai
Ye chaandni ka noor or palkon ke aadaab
Kab tak sabr se hum kaam liye
Tujhper na mare to kya jiye


Masumiyat tere chehre ki,kudrat ka bayaan
Muskurahat tere labh ki masjid ki aazaan
Kamsin kali ki tarah paak,zindgi ki kitaab
Kab tak sabr se hum kaam liye
Tujhper na mare to kya jiye

Tera tehzeeb-e-takallum,bahaaro ka mijaaj
Teri aawaaz ka rutba,ussper jism nayaab
Mera kayaash tu jamee per mujassim-e-mahtaab
Kab tak sabr se hum kaam liye
Tujhper na mare to kya jiye

Takallum-the way of talking
Mijaaj-mood
Kayaash-- guess

Tera chehre ke aangan per zindgi ke mele
Teri aankhon ke darpan me khwahison ke rele
Karan kehta hai tu hai la-jawaab
Kab tak sabr se hum kaam liye
Tujhper na mare to kya jiye


User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
ZUHA_ALI
post Oct 9 2005, 04:21 PM
Post #13


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1870
Joined: 13-March 05
Member No.: 1834




Manzil hai kahan,raah-guzaar abb bhi wohi hai.
Bay simat musafir ka safar abb bhi wohi hai

Miltah nahi mujhi ko mera pechan ka rastaah
Jub kay wohi koocha bhi hai,gher bhi wohi hai

Main dhoondhtah raha hoon mera bachpan hay kahan gum
Angan mai hain jhoolay,shajar abb bhi wohi hai

Ek tere siwa duniya mai kuch bhe nahi badla
Shaab hoti hai waise hi,sahar abb bhi wohi hai

Badli hain wohj aankhien jinhein chaha tha kisi nay
Uss chahanay walay ki nazaar abb bhi wohi hai




Never give up on the things that make you smile !!
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
desi
post Nov 2 2005, 04:40 PM
Post #14


Regular Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 410
Joined: 7-April 05
Member No.: 2012



Aziizan-emehfil
Arsa-e-taveel ke ke baa'd aapki khidmat meiN haazir hua huuN. Ye ek halki-phulki si ghazal aapki nazar hai. Apni aara se zaruur nawaazeN
----------------------

GHAZAL

Kaun hai kaisa, kal socheN ge
Jhoota sachcha, Kal socheN ge

Aaj ki raahoN se to guzar leN
Kal kya hoga, kal socheN ge

Abhi to mehfil meiN haiN yaaro
Tanha-tanha, kal socheN ge

Ab tak jo socha achcha tha
Aur bhi achcha kal socheN ge

Apne naam hoN do bas lamhe
Waqt hai kiska, kal socheN ge

Tuut gaya dil yaaro ik din
Ab kyuuN tuuta kal socheN ge

Tum ko paakar humne Khud ko
Kitna khoya, kal socheN ge

Zehen kahe kuch kal ki socho
Dil hai kehta, kal socheN ge
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
ZUHA_ALI
post Nov 17 2005, 07:17 PM
Post #15


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1870
Joined: 13-March 05
Member No.: 1834



Mayoos mat hona yeh aik gunnah hota hai
Milta wahi hai jo qismat main likha hota hai

Har cheez miley humain yeh zaroori tou nahi
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan main hota hai

Jo khud ko kostey hain woh shayed bekhabar hain
Kuch paalene ka ikhtiyar khud pe bhi hota hai

Har aik ko barsar-e-ilzam kiun thehrayein hum
Apne samne bhi tou aik ayeena hota hai

Hum apni zindagi se kiun haar jayein
Gar doobta hai sooraj tou kal tuloo bhi toh hota hai




Never give up on the things that make you smile !!
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post

Reply to this topicStart new topic
1 User(s) are reading this topic (1 Guests and 0 Anonymous Users)
0 Members:


 



- Lo-Fi Version | Disclaimer | HF Guidelines | Be An Angel Time is now: 28th March 2024 - 03:37 PM