Printable Version of Topic

Click here to view this topic in its original format

Hamara Forums _ Shayaris & Tukbandis _ Shair On Eid

Posted by: humble_rafi Nov 1 2005, 05:29 PM

I am looking for all the shairs on EID esp written to admire sum1's beauty.

Thank you.

Posted by: desi Nov 1 2005, 07:30 PM

mere mehboob teri aankhon ne kuch iss tarah chuaa hai, Namaaz meri eid ki adaa ho gayi hai

Posted by: desi Nov 2 2005, 04:48 PM

iid ul fitr


--------------------------------------------------------------------------------
hai aabido.n ko ta'at-o-tajariid kii Khushii
aur zaahido.n ko zuhad kii tamahiid kii Khushii
ri.nd aashiqo.n ko hai ka_ii ummiid kii Khushii
kuchh dil-baro.n ke val kii kuchh diid kii Khushii

[aabid=devotee; ta'at=devotion; tajariid=solitude]
[zaahid=preacher; zuhad kii tamaheed=start of religious talk]

aisii na shab-e-baraat na baqriid kii Khushii
jaisii har ek dil me.n hai is iid kii Khushii

pichhale pahar se uTh ke nahaane kii dhuum hai
shiir-o-shakar sivayyaa.N pakaane kii dhuum hai
piir-o-javaan ko nema'te.n khaane kii dhuum hai
la.Dako ko iid-gaah ke jaane kii dhuum hai

[piir=old; nema't=bounty]

aisii na shab-e-baraat na baqriid kii Khushii
jaisii har ek dil me.n hai is iid kii Khushii

ko_ii to mast phirataa hai jaam-e-sharab se
ko_ii pukarataa hai ke chhuuTe azaab se
kallaa kisii kaa phuulaa hai laDDuu kii chaab se
chaTakaare.n jii me.n bharate hai.n naan-o-kabaab se

[azaab=agony; kallaa=cheek]

aisii na shab-e-baraat na baqriid kii Khushii
jaisii har ek dil me.n hai is iid kii Khushii

kyaa hi muaanqe kii machii hai ulaT palaT
milate hai.n dau.D dau.D ke baaham jhapaT jhapaT
phirate hai.n dil-baro.n ke bhii galiyo.n me.n Gat ke Gat
aashiq maze u.Daate hai.n har dam lipaT lipaT

[muaaniq=embrace; GaT=crowd]

aisii na shab-e-baraat na baqriid kii Khushii
jaisii har ek dil me.n hai is iid kii Khushii

kaajal hinaa Gazab masii-o-paan kii dha.Dii
pishavaaze.n surKh sausanii laahii kii phul-jha.Dii
kurtii kabhii dikhaa kabhii angiyaa kasii ka.Dii
kah "iid iid" luuTen hai.n dil ko gha.dii gha.Dii

[pishwaaz=ladies' skirt]

aisii na shab-e-baraat na baqriid kii Khushii
jaisii har ek dil me.n hai is iid kii Khushii

roze kii Khushkiyo.n se jo hai.n zard zard gaal
Khush ho gaye vo dekhate hii iid kaa hilaal
poshaake.n tan me.n zard, sunaharii safed laal
dil kyaa ke ha.Ns rahaa hai pa.Daa tan ka baal baal

[roze=fastings; hilaal=crescent moon of Eid; poshaak=clothes]

aisii na shab-e-baraat na baqriid kii Khushii
jaisii har ek dil me.n hai is iid kii Khushii

jo jo ke un ke husn kii rakhate hai.n dil se chaah
jaate hai.n un ke saath taa baa-iid-gaah
topo.n ke shor aur dogaano.n kii rasm-o-raah
mayaane, khilone, sair, maze, aish, vaah-vaah

aisii na shab-e-baraat na baqriid kii Khushii
jaisii har ek dil me.n hai is iid kii Khushii

aisii na shab-e-baraat na baqriid kii Khushii
jaisii har ek dil me.n hai is iid kii Khushii

rozo.n kii saKhtiyo.n me.n na hote agar amiir
to aisii iid kii na Khushii hotii dil-paziir
sab shaad hai.n gadaa se lagaa shaah taa vaziir
dekhaa jo ham ne Khuub to sach hai miyaa.N "Nazeer"

Posted by: desi Nov 2 2005, 04:54 PM

assalam o alikum,

dosto eid k hawale se ik ghazal pesh e khidmat hai..omeed hai aap apni qeemati ara ka izhaar ker k mamnoon hone ka mouqa inayat karain ge..


un se ham door rahe eid k din
kitne majboor rahe eid k din

ik ham hi udaas thay werna
log masroor rahe eid k din

un k ghar tak hi fasala kia tha
phir bhi mazoor rahe eid k din

rasm- o -riwaaj ki sooli k sabab
ham bhi mansoor rahe eid k din

ankhain nem thain aur lab thay khamosh
gham se mamoor rahe eid k din

basti main her soo maseyahi thi
derd se choor rahe eid k din

saMi ik main to nahin tha tanhaa
woh bhi mehsoor rahe eid k din



duago,






Posted by: Bawra Jay Nov 3 2005, 12:07 AM

Tanhayee ka saathi mil na saka, rusvai mein shaamil shaher hua,
Pehlay to mera dil tod diya, phir Eid manayee logon nay !


kyaa lutf-e-'Eid' hai jo agar tum se duur hoon
guzaregaa roz-e-'Eid' tasavvur mein aap ke.....


Us mehrbaN ki nazr-e-inayat ka shukrya
Tohfa diya hay eid pay humko firaq ka


Hum hain apnay jazba-e-zauq talab pay sharmshar
Tum raho rothay hamari bhi gujar jaigi eid
kuch hamaray ashk hongay bais-e-taskeen-e-dil
kuch khyal-e-bazm-e-khoobaaN say gujar jaigi eid


And now something on the lighter side tongue.gif

ye Eid ke pakwaan ka kuch aisa asar hai,
mehboob ki zulfien bhi lagti hain "siwaiaan"


us nay fir EID ke card mein mujh ko,
lafz Ik bay dhyaan likha hai....
phir meri EID kirkiri kardi,
phir mujhay BHAAI-JAAN likha hai.......

Posted by: Bawra Jay Nov 3 2005, 01:35 AM

QUOTE(Zaira @ Nov 2 2005, 02:47 PM) *

QUOTE(Bawra Jay @ Nov 3 2005, 12:07 AM) *


us nay fir EID ke card mein mujh ko,
lafz Ik bay dhyaan likha hai....
phir meri EID kirkiri kardi,
phir mujhay BHAAI-JAAN likha hai.......




~~

laugh.gif laugh.gif

This one is phunnyyy laugh.gif

~~



Hmmm.... hope u never did that tongue.gif ......

Posted by: ZUHA_ALI Nov 3 2005, 11:39 AM


Tuu hansay toh mehak uthein dil ki kaliyan
Teri muskurahat say hamari eid ho jaye

Posted by: ZUHA_ALI Nov 3 2005, 11:40 AM


Jagmagayi ghum-e-furqat ki siyahi kay liyeh
Mere honton pay tabassum ki zia,eid kay din
Phir tasavvur mai dareechay tere yaadon kay khulya
Phir tere dard ka ehsaas huwa eid kay din

Posted by: ZUHA_ALI Nov 3 2005, 11:40 AM


Eid ka din aur itna mukhtasir
Din ginay jatay thay iss din kay liyeh

Posted by: ZUHA_ALI Nov 3 2005, 11:41 AM


Duaa hai tum dheko zindagi mai beshumaar eidein
Khushi say raqs kerti muskurati baharein
Nichawaar tum pay ho aise hazaar eidein
Zamanay bhar ki khushiyan tum pay ker dein nisaar eidein

Posted by: ZUHA_ALI Nov 3 2005, 11:41 AM


Abb dhekaye udaas nazaron ko kiya milay
Har tarf khushiyan banti-ti phirti hai shaam-e-eid

Posted by: ZUHA_ALI Nov 3 2005, 11:42 AM


Hum nay hilal-e-eid kay hath bhejiwaya hai yeh sandesa
Kertah hai tumhein koi yaad bohut baar baar usay kehna

Posted by: ZUHA_ALI Nov 3 2005, 11:44 AM


Tamam umar ki wabastagi ki khuwish thi
Yeh kab kaha tha kay mera shehar chorr jaye woh
Mere maan kay dareechon mai eid ho jaye
Mere ufaaq pay aghar chaand ban kay aye woh

Posted by: ZUHA_ALI Nov 3 2005, 11:45 AM


Mai nay chaha tha tujhay eid pay kuch nazaar keron
Jis mai ehsaas kay sub rang hoon roshan roshaan
Jis mai aankhon kay tarsahay huway moti lakhon
Jis mai shamil ho mere dil ki dhakhan

Posted by: ZUHA_ALI Nov 3 2005, 11:46 AM


Dhek kay hilaal-e-eid kp jo muskuratay thay
Woh chaand chehray abb dhoohndhay say bhe nahi miltay

Posted by: desi Nov 3 2005, 07:27 PM


ahal.e.daval meiN dhuum thi roz.e.saeed ki
muflis ke dil meiN thi na kiran bhi umeed ki
itne meiN or charKH ne miTTi paleed ki
bache ne muskura ke khabar di jo Eid ki

(ahal.e.daval = doulat.mand/amoung rich peolple)
(roz.e.saeed = khoshi ka din/Eid ka din)
(charKH = aasmaan/sky)

fart.e.mihaN se nabz ki raftar ruk ga'i
maaN baap ki nigaaH uThi or jhuk ga'i

(fart.e.mihaN = riQQat taari hona/maGhmoom hona/gham ki lehhar)


aaNkhaiN jhukeeN ke dast.e.teh'i par nazar ga'i
baChooN ke valvalooN ki dilooN tak khabar ga'i
zulf.e.sabaat Gham ki havaa se bikhar ga'i
barchi si aik dil se jigar tak utar ga'i

(dast.e.teh'i = khaali haath)
( valvalooN = josh/kamiyaabi ya khoshi umeed)
(sabaat = sabr)


dono.N hujoom.e.gham se ham.aaGhosh ho gaye
ek doosre ko daikh ke khamooSh ho gaye

(Josh Malihabadi)

Posted by: ZUHA_ALI Nov 6 2005, 09:47 AM

(FOR MY ZIA BHAI)

Main ney chaha is EID par
Ik aisa tuhfa teri nazar karon

Ik aisi dua terey liye mangoon
Jo aaj tak kisi ney kisi key liye na mangi ho
Jis dua ko soch kar hee
Dil khushi sey bhar jaye
Jisey tu umer bhar yaad rakhey
Jisey tu kabhi bhula na sakey
Key kisi apney ney ye dua ki thi
Key aaney waley dino main
Gham teri zindagi main kabhi na aaye
Tera daaman khushiyon sey
Hamesha bhara rahey
Har cheez mangney sey pehley
Teri jhooli main ho
Har dil main tere liye piyar ho
Har aankh main tere liye ehtram ho
Har koi banhain phelaey tujhey
Apney paas bulata ho
Har koi tujhey apna banana chahta ho
Teri EID waqee EID ho jaye
Kiun key kisi apney ki Dua tumharey saath hai

Posted by: desi Nov 6 2005, 06:44 PM

Eid bhi kessi Eid hae aaii
jesse jism se hogai ho roh juda
kitni udas sogwar,matamkunah
pardes main hum
aur dais main karbala si chai hae
kurb o bala ke badal hain
kon kahan hae kidher hae??
nazrain talash main sargardan hae
YA ALLAH MADAD ! ! ! ...ki sadain hain
khane ko roti na sar pay saya hae
ansoo bhi nahi bache ab pinay ko
zaghmun se badan chalni hae
elaj o dawa ka asra kahan hae?
masiha ko bhi sabr o dua ki hajat hae
baala_khanun main eid ki tayaraian hain arujun pay
new year ki ammad ka bhi ehta'maam hae
roze ki terhan zakat o fitrah bhi kha jate hain
be-hisi ka dor e aam hae
ab kahan se lain woh dil jo gudaz ho
kisi kay dard main jo rota ho
hum pardessiun nay eid nahi manai
apne watan may qayyamat e sughra thi aee
apne khoon pasine ki kamai ka ek qatrah
humwatun ki nazr kia
qimti janain jo gain so gain
ab zindah lashun ka malbah
apne kundhun pae uthana hae
sans se sans ki dori ab bhi juri hae
umeed se umeed bandh kay rakhi hae

Posted by: stormey Jan 10 2006, 12:23 AM




Yeh Bhi Accha Hoowa EID Abb Ki Bhi Tanha Guzar Gi
Hum Gale Milkar Bohat Rote Agar Aap Aa Jaate



plzzzzzzzzzzz more shair's on eid

thanxxxxxx

Posted by: kabir Oct 4 2006, 12:56 PM

Udhar se chaaNd tum dekho, idhar se chaaNd ham dekheN,
NigaaheN jyuN hiiN TakraayeN, hamaarii Eid ho jaaye!!

Posted by: aaryana afghan Oct 6 2006, 08:58 AM

Eid is a celebration for muslims to celebrate
Eid is time to say Eid morak and pray
Some muslims give money to their children and say Eid mobarak.
Some muslims go to their friend and neigbours.
Some people give money to other children,
they don't just give money to their own children,
they give money to their friend's children or to their neigbours children.
They can also give money to adults.
Eid mobarak, Eid mobarak to you all my bothers and sisters.


Posted by: aaryana afghan Oct 6 2006, 09:04 AM

maine chaha tujhay eid pe kuch paish karoo
jis mein ehsaas ke sab rang ho raushan raushan
jis may aankhon kay taraashe huay motii laakhon
jis may shaamil ho mere qalb kii dhaDakan dhDakan[size=3]

Posted by: aaryana afghan Oct 6 2006, 09:11 AM

mujhe mil gayaa bahaanaa terii deed kaa
kaisii Khushii le ke aayaa chaand 'Eid' kaa
[size=3][color=#FFFF00]

Posted by: kabir Oct 8 2006, 10:27 PM

shaam tak iss liye darwaaza khula rakkha hai
koi aaeiga mujhe eid mubaarak kahney

Posted by: kabir Oct 12 2006, 06:48 PM

ikhtilaf is baat per bhi qoum main paya gaya
chand khud nikla tha ya jabrun nikalwaya gaya

Posted by: ZUHA_ALI Oct 21 2006, 06:03 PM


Iss Eid parr phirr saith hain mere
Pardes,tanhai aur bas teri yaadain

Posted by: ZUHA_ALI Oct 21 2006, 06:13 PM


Kuch mussarat mazeed ho jai
Iss bahanay say eid ho jai
Eid milnay jo app aa jain
Hamari eid bhi eid ho jai

Posted by: stormey Oct 13 2007, 06:56 PM

Hum ne is saal bhi na paai tere gham se nijaat
Hum ne is saal bhii na dekhaa 'Eid' ka chaand
sad.gif

Posted by: humble_rafi Oct 19 2007, 03:17 PM

Stormey Ji chaa gaaye aap.Ba-khuda dil khush ho gaya.

Thanks for sharing

Posted by: stormey Dec 21 2007, 05:12 AM


Raas Aa Jaati Humein Bhi'Eid' Ki Khushiyaan Tamaam
Kaash Tu Bhi Paas Hotaa 'Eid' Ke Lamhaat Mein


Posted by: humble_rafi Dec 23 2007, 10:25 PM

Stormey Ji,kya baat hai!!!!!!!!

"roz kab teri deed hoti hai,
ek he din to Eid hoti hai.
koi badli umand hi aati hai
jab bhi garmi shadeed hoti hai.
haaye kaashid ki dilshikn suraat,
jaisi khat ki rasheed hoti hai.
hum qalandar jo nooash karte hai
uss nazar ki qasheed hoti hai"

From Ustad Nusrat Fateh Ali Khan Sahab's qawwali "woh hata rahe hai parda"


Powered by Invision Power Board (http://www.invisionboard.com)
© Invision Power Services (http://www.invisionpower.com)