Visit our other dedicated websites
Asha Bhonsle Geeta Dutt Hamara Forums Hamara Photos Kishore Kumar Mohd Rafi Nice Songs Shreya Ghoshal
Hamara Forums

Welcome Guest ( Log In | Register )

Sir Mohammed Iqbal

, Ideologist/Poet/Philosopher/Spiritualist

3 Pages V  1 2 3 >  
Reply to this topicStart new topic
> Sir Mohammed Iqbal, Ideologist/Poet/Philosopher/Spiritualist
AzgarKhan
post Aug 1 2005, 07:00 AM
Post #1

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 4425
Joined: 23-January 04
From: New York (USA) / Hyderabad (India)
Member No.: 205

Sir Mohammed Iqbal was one of the greatest poets of Indian History.
A great thinker who had significant role in freedom of India.
Personally he is one of my favorites.

Birth

Allama Iqbal was born in famous city of Sialkot in the Punjab province of Pakistan on November 9, 1877. His ancestors were Kashmiris. They had embraced Islam two hundred years earlier. Iqbal’s father was a devout Muslim with Sufistic bent of mind.

Primary Education

He received his early education in Sialkot. After passing the entrance examination, he joined Intermediary [Murray] College. Maulana Mir Hassan, a great oriental scholar, had a special aptitude for imparting his own literary taste and to his students. Under his influence, Iqbal was drawn towards Islamic studies, which he regarded to be an outstanding favor that he could not forget it all his life.

Higher Education

Passing on to the Government College of Lahore, Shaikh Noor Muhammad: Father of Allama Muhammad Iqbal (Passed away on August 17, 1930)Iqbal did his graduation with English Literature, Philosophy and Arabic as his subjects. At the college he met Prof. Arnold and Sir Abdul Qadir. Iqbal’s poem, Chand (moon) and other early poems appeared in the journal (which belonged to Sir Abdul Qadir) in 1901 and were acclaimed by critics as cutting a new path in Urdu poetry.

It did not take him long to win recognition as a rising star on the firmament of Urdu literature. In the mean time he had done his MA in Philosophy and was appointed as a Lecturer in History, Philosophy and Political science at Oriental College, Lahore. He then moved to Government College to teach Philosophy and English Literature. Wherever Iqbal worked or thought his versatility and scholarship made a deep impression on those around him.

In Europe

Iqbal proceeded to Europe for higher studies in 1905Imam Bibi: Mother of Allama Muhammad Iqbal (Passed away on November 9, 1914) and stayed there for three years. He took the Honors Degree in Philosophy and taught Arabic at the Cambridge University in the absence of Prof. Arnold. From England, he went to Germany to do his doctorate in Philosophy from Munich and then returned to London to qualify for the bar. He also served as a teacher in the London school of Commerce and passed the Honors Examination in Economics and Political Science. During his stay in Europe Iqbal not only read voraciously but also wrote and lectured on Islamic subjects which added to his popularity and fame in literary circles.

Back in India

Iqbal returned to India in 1908. The poet had won allShamsul Ulema Moulvi Syed Mir Hassan: Allama's Teacher & Guide (Passed away in September 1929) these academic laurels by the time he was 32 or 33. He practiced as a lawyer from 1908 to 1934, when ill health compelled him to give up his practice. In fact, his heart was not in it and he devoted more time to philosophy and literature than to legal profession.

He attended the meetings of Anjuman Himayat-I-Islam regularly at Lahore. The epoch making poems, Shikwa and Jawab-e-Shikwa, which he read out in the annual convention of it one year after another, sparkled with the glow of his genius and made him immensely popular. They became the national songs of Millet.

Iqbal’s other poems Tarana-e-Hind (The Indian anthem) and Tarana-e-Milli (the Muslim Anthem) also became very popular among masses and used to be sung as symbols of National or Muslim identity at public meetings.

The spirit of Change

The Balkan wars and the Battle of Tripoli, in 1910, shook Allama Muhammad Iqbal (1899) A snap after his MastersIqbal powerfully and inflicted a deep wound upon his heart. In his mood of anger and frustration, he wrote a number of stirring poems, which together with portraying the anguish of Muslims were severely critical of the West.

The spirit of change is evident in poems like Bilad-e-Islamia (the lands of Islam), Wataniat (Nationalism), Muslim, Fatima Bint Abdullah (who was killed in the siege of Cyrainca, Siddiq, Bilal, Tahzib-e-Hazir (Modern civilization) and Huzoor-e-Risalat Maab Mein (in the presence of Sacred Prophet).

In these poems, Iqbal deplores the attitude of Muslim leaders who lay a claim to Islamic leadership and yet are devoid of a genuine spiritual attachment to the blessed Prophet.

The turning point in Iqbal’s Life

Iqbal was shaken by the tragic eventsPortrait of the Poet as a Barrister-at-Law of World War-I and the disaster the Muslims had to face. The genius had passed through the formative period. He had attained maturity as a poet, thinker, seer and crusader who could read the signs of tomorrow in the happenings of today, make predictions, present hard facts and unravel abstruse truths through the medium of poetry and ignite the flame of faith, Selfhood and courage by his own intensity of feeling and force of expression. Khizr-e-Raah (The Guide) occupies the place of pride among the poems he wrote during this period. Bang-e-Dara (The caravan bell) published in 1929 has held a place of honor in Urdu poetry and world poetry.

Iqbal preferred Persian for poetic expression because its circle was wider than that of Urdu in Muslim India. His Persian works, Asrar-e-khudi (Secrets of the self), Rumuz-e-Bekhudi (Mysteries of Selflessness), Payam-e-Mashriq (Message of the East), Javed Nama (The Song of Eternity) belong to the same period of his life. And so is Reconstruction of Religious Thoughts in Islam, which was extensively appreciated and translated into many Allama Muhammad Iqbal - 1908 (In London)languages. Academies were set up in Italy and Germany for the study of Iqbal’s poetry and philosophy.

Politics

In 1927 the poet was elected to the Punjab Legislative assembly. In 1930, he was elected to preside over at the annual session of Muslim League. In his presidential address at Allahabad, Iqbal for the first time introduced the idea of Pakistan. In 1930-31, he attended the Round Table conference, which met in London to frame a constitution for India.

In Spain

While in England, Iqbal accepted the hospitality of Spain. He also went to Cordoba and had the distinction of being the first Muslim to offer prayers at its historical mosque after the exile of Moors. Memories of the past glory of Arabs and their 800-year rule over Spain were revived in his mind and his emotions were aroused by what he saw.

Meeting with Mussolini

In Italy Iqbal was received by Mussolini who had read sAllama (1929) The poet with his son, Javed Iqbal ome of his works and was aquatinted with his philosophy. They had long meetings and talked freely to each other.

The Universities of Cambridge, Rome and Madrid and the Roman Royal society organized meetings in his honor. On his way back he also went to Jerusalem to attend the International Conference of Motamar-i-Isalami.

In Afghanistan

At the invitation of King Nadir Shah, Iqbal visited Afghanistan in 1932. The king received the poet with great honor and met hi privately, as well during which he laid bare his heart. The two talked and wept.

Iqbal’s Death

The last phase of Iqbal’s life was embittered with constant illness. But as regards his creative activities this product was most productive. He kept in touch with every question of the day and continued composing beautiful verses.

A few minutes before his death he recited these touching lines:

The departed melody may return or not!
The zephyr from Hijaz may blow again or not!
The days of this Faqir has come to an end,
Another seer may come or not!

Although Iqbal’s was long and protracted the endAllama Muhammad Iqbal - 1931 (In London) was sudden and very peaceful. He breathed his last in the early hours of April 21, 1938, in the arms of his old and devoted servant, leaving behind a host of mourners all over the Islamic world.

There was a faint smile playing on his lips, which irresistibly reminded one of the last criterions, which he laid down for a truthful Muslim.

I tell you the sign of a Mumin-When death comes there is smile on his lips.

_______________________________________________________________________________
My Youtube Videos
Palestine belongs to the Arabs in the same sense that England belongs to the English or France to the French.
It is wrong and inhuman to impose the Jews on the Arabs. - Mohandas Karamchand Gandhi
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
AzgarKhan
post Aug 1 2005, 07:09 AM
Post #2

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 4425
Joined: 23-January 04
From: New York (USA) / Hyderabad (India)
Member No.: 205

S H I K W A

Iqbal was shaken by the tragic events of World War-I and the disaster the Muslims had to face. He penned 'Shikwa', a complaint to god. A master piece in which he expresses his displeasure.

_______________

Kyon Ziaan kaar banun, sood framosh rahoon?
Fikr-e-farda na karum, mahw-e-ghum-e-dosh rahoon,

Naale bulbul ke sunoon, aurhama tan gosh rahoon,
Hamnawa main bhi koi gul hoon ke khamosh rahoon?

Jurrat aamoz miri taab-e-sakhun hai mujhko,
Shikwa Allah se khakam badahan hai mujhko.

Hai bajaa shewa-e-taslim mein mashhoor hain hum
Qissa-e-dard sunate hain ke majboor hain hum

Saazein khamosh hain, faryad se maamoor hain hum
Naala aata hai agar lab pe to, maazoor hain hum

Ai Khuda shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le,
Khu gar-e-hamd se thora sa gila bhi sun le.

Thi tau maujood azal se hi teri zaat-e-qadeem,
Phool tha zeb-e-chaman, par na pareshan thi shameem

Shart-e-insaaf hai, aye sahib-e-altaf-e-ameem,
Boo-e-gul phailti kis tarha jo hoti na naseem?

Hum ko Jamiat-e-khatir ye pareshaani thi
Warna Ummat tere mehboob ki deewani thi

Hum se pehle tha ajab tere jahan ka manzar,
Kahin masjood thay patthar, kahin mabood shajar

Khugar-e-paikar-e-mahsoos thi insaan ki nazar,
Maanta phir koi un-dekhe Khuda ko kyonkar?

Tujhko maalum hai leta tha koi naam tera?
Quwwat-e-baazu-e-Muslim ne kiya Kaam tera!

Bas rahe the yahin salijuq bhi, toorani bhi,
Ahl-e-chin cheen mein, Iran mein sasaani bhi,

Isi maamoore mein aabad the Yunaani bhi,
Isi duniya mein Yahudi bhi the, Nusraani bhi,

Par tere naam pe talwar uthai kis ne,
Baat jo bigri huri thi who banaai kis ne?

The hameen ek tere maarka aaraaon mein!
Khushkion mein kabhi larte, kabhi dariyaon mein,

Di aazaanein kabhi Europe ke kaleesaaon mein,
Kabhi Africa ke tapte hue sehraaon mein.

Shaan aankhon mein na jachti thi jahaan-daaron ki
Kalema padte thay hum chaon mein talwaaron ki

Hum jo jeete thay toh jungon ki museebat ke liye
Aur marte thay tere naam ki azmat ke liye

Thi na kuchh tegh-zani apni hukumat ke liye,
Sar ba-kaf phirte the kya dahar mein daulat ke liye?

Qaum apni jo zar-o-maal-e-jahan par marti
Buth-faroshi ke iwaz buth-shikni kyon karti?

Tall na sakte thay, agar jung mein add jaate thay
Paon sheron ke bhi maidaan se ukhad jaate thay

Tujhse sarkash hua koi, toh bigad jaate thay
Tegh kya cheez hai, hum tope se ladd jaate thay

Naqsh tauheed ka har dil pe bithaya hum ne,
Zer-e-khanjar bhi ye paigham sunaya hum ne.

Tu hi kah de ke ukhara dar-e-Khyber kis ne,
Shaher qaiser ka jo tha us ko kiya sarr kis ne?

Tore makhluq khudawandon ke paikar kis ne?
Kaat kar rakh diye kuffar ke lashkar kis ne?

Kisne thanda kiya aatish-kada-e-iran ko
Kisne phir zinda kiya tazkara-e-yazdaan ko

Kounsi qaum faqat teri talabgaar huwi
Aur tere liye zehmat kash-e-paikaar huwi

Kiski shamsheer Jahangir jahandaar huwi
Kiski takdeer se duniya teri bedaar huwi

Kiski haibat se sanam sehme huwe rehte thay
Moo ke ball girr ke hu-Allah-hu-Ahad kehte thay

Aa gaya ain ladaai mein agar waqt-e-namaz,
Qibla roo ho ke zameen-bose hui qaum-e-Hijaaz,

Ek hi saff mein khade ho gaye mahmood-o-Ayaz,
No koi banda raha aur no koi banda nawaaz.

Banda-o-sahib-o-mohtaaj-o-ghani ek hue,
Teri sarkar mein pahunche to sabhi ek hue.

Mehfil-e-kaun-o-makaan mein sehar-o-shaam phire,
Mai-e-tauheed ko lekar sifat-e-jam phire.

Koh mein, dasht mein lekar tera paighaam phire
Aur maloom hai tujhko kabhi nakaam phire?

Dasht tau dasht hain, darya bhi na chhore hum ne,
Behr-e-zulmaat mein daura diye ghore hum ne.

Safah-e-dahar se baatil ko mitaya hum ne,
Nau-e-insaan ko ghulami se chhuraya hum ne,

Tere kaabe ko jabeenon se basaya hum ne,
Tere Quraan ko seenon se lagaya hum ne.

Phir bhi hum se yeh gila hai, ke wafadar nahin,
Hum wafadar nahin, tu bhi to dildar nahin!

Ummatein aur bhi hain, un mein gunahgaar bhi hain
Ijz waale bhi hain mast-e-mai pindaar bhi hain

In mein kaahil bhi hain, ghaafil bhi hain, hoshiyaar bhi hain
Sainkdon hain ke tere naam se bezaar bhi hain

Rahmaten hain teri aghiyaar ke kashaanon par,
Barq girti hai to bechare Musalmaanon par

Buth sanam khaanon mein kehte hain, musalmaan gaye
Hai khushi unko ke kaabe ke nigehbaan gaye

Manzil-e-dehr se Oonton ke hudi khwaan gaye
Apni baghlon mein dabaye huwe Quran gaye

Khanda zann kufr hai, ehsaas tujhe hai ke nahi
Apni tauheed ka kuch paas tujhe hai ke nahi

Yeh shikayat nahi, hain un ke khazane maamoor,
Nehin mehfil mein jinhe baat bhi karne ka shaoor,

Qahar to yeh hai ke kaafir ko mile hoor-o-qasoor,
Aur bechaare Musalmaan ko faqt waada-e-hoor?

Ab wo altaaf nahi, hum pe inayaat nahi
Baat ye kya hai ke pehli si mudaraat nahi

Kyun musalmaanon mein hai daulat-e-duniya nayaab
Teri qudrat to hai wo jiski na hadd hai na hisaab

Tu jo chaahe to uthay seena-e-sehra se hubaab
Rahraw-e-dasht ho saili zada-e-mauj-e-saraab

Taan-e-aghiyaar hai, ruswai hai, nadaari hai,
Kya tere nam pe marne ka iwaz khwari hai?

Bani aghyaar ki ab chahne waali duniya
Reh gayi apne liye ek khayali duniya

Hum to rukhsat huwe auron ne sambhaali duniya
Phir na kehna huwi tauheed se khaali duniya

Hum to jeete hain ke duniya mein tera naam rahe,
Kahin mumkin hai saqi na rahe, jaam rahe?

Teri mehfil bhi gayi, chahne walw bhi gaye,
Shab ki aahein bhi gayi, subha ke nale bhi gaye,

Dil tujhe de bhi gaye, apna sila le bhi gaye,
Aa ke baithe bhi na the, aur nikaale bhi gaye.

Aaye ushaaq, gaye wada-e-farda lekar,
Ab unhe dhoond chirag-e-rukh-e-zeba lekar!

Dard-e-Laila bhi wohi, Qais ka pahlu bhi wohi,
Najd ke dasht-o-jabal mein ram-e-aahoo bhi wohi,

Ishq ka dil bhi wohi, husn ka jaadoo bhi wohi,
Ummat-e-Ahmed-e-Mursil bhi wohi, tu bhi wohi,

Phir ye aazurdagi-e-ghair-sabab kya maani,
Apne shaidaaon pe ye chashm-e-ghazab kya maani?

Tujhko chora ke rasool-e-arabi ko chora
Buth gari pesha kiya, buth shikani ko chora

Ishq ko ishq ki aashufta-sari ko chora
Rasm-e-salman-o-owais-e-qarani ko chora

Aag takbeer ki seenon mein dabi rakhte hain
Zindagi misl-e-bilal-e-habshi rakhte hain

Ishq ki khair, who pehli si ada bhi na sahi,
Jaada paimayi-e-taslim-o-raza bhi na sahi,

Mujhtarib dil sifat-e-qibla numa bhi na sahi
Aur pabandi-e-Aaeen-e-wafa bhi na sahi

Kabhi hum se, kabhi ghairon se shanasaai hai,
Baat kehne ki nahin, tu bhi to harjaai hai.

Sarr-e-faraan se kiya deen ko kaamil toone
Ek ishaare mein hazaron ke liye dil toone

Aatish andoz kiya ishq ka haasil toone
Phoonk di garmi-e-rukhsaar se mehfil toone

Aaj kyun seene hamare sharrar-abaad nahi?
Hum wohi sokhta samaan hain, tujhe yaad nahi?

Waadi-e-najd mein wo shor-e-salasil na raha
Qais deewana-e-nazzara-e-mehmil na raha

Hosle wo na rahe, hum na rahe, dil na raha
Ghar ye ujda hai ke tu raunaq-e-mehfil na raha

Aye khushaan rooh ke aayi-o-basadnaaz aayi
Be hijaabana soowe-mehfil-e-mabaaz aayi

Baadakash ghair hain gulshan mein lab-e-ju baithe
Sunte hain jaam bakaf naghma-e-kuukuu baithe

Door hungama-e-gulzaar se yaksuu baithe
Tere deewane bhi hain muntazir-e-hu baithe

Apne parwanon ko phir zauq-e-khud-afrozi de
Barq-e-deri ko farmaan-e-jigar sozi de

Qaum-e-awara ina-Taab hai phir soo-e-hijaaz
Le udaa bulbul-e-beparr ko mazaaq-e-parwaaz

Muztarib baagh ke har gunche mein hai boo-e-niyaaz
Tu zara chaaird to de, tashna-e-mizrab se saaz

Naghme betaab hain taaron se nikalne ke liye
Toor muztar hai, usi aag mein jalne ke liye

Mushkilen ummat-e-marhoom ki asaan kar de
Moore-be-maya ko humdosh-e-sulemaan kar de

Jinse nayaab-e-mohabbat ko phir arzaan kar de
Hind ke dair-e-nasheenon ko musalmaan kar de

Ju-e-khoon mi chakadaz hasrat-e-de-reena-e-Ma
Mee tapad naala banisht tar kada-e-seena-e-ma

Bu-e-gul le gayi bairoon-e-chaman, raaz-e-chaman
Kya qayamat hai ke khud phool hain ghammaz-e-chaman

Ahd-e-gul khatm hua, toot gaya saaz-e-chaman
Udd gaye daaliyon se zamzama pardaaz-e-chaman

Ek bulbul hai ke hai mehw-e-tarannum ab tak
Is ke seene mein hai naghmon ka talatum ab tak

Qumriyaan shaakh-e-sanoobar se gurezaan bhi huwin
Pattiyan phool ki jhad jhad ke parishaan bhi huwin

Wo purani rawishein bagh ki veeran bhi huwin
Daaliyan pairahun-e-bargh se uryaan bhi huwin

Qaid-e-mausam se tabiyat rahi azaad us ki
Kaash gulshan mein samajhta koi faryaad us ki

Lutf marne mein hai baaqi, na mazaa jeene mein
Kuch mazaa hai toh yehi khoon-e-jigar peene mein

Kitne betaab hain johar mere aaine mein
Kis qadar jalwe tadapte hain mere seene mein

Is gulistaan mein magar dekhne waale hi nahi
Daagh jo seene mein rakhte hon wo naale bhi nahi

Chaal is bulbul-e-tanha ki nawase dil hon
Jaagne waale isi baang-e-dara se dil hon

Yaani phir zinda naye ahd-e-wafa se dil hon
Phir usi baada-e-de-reena ke pyaase dil hon

Ajami khum hai toh kya, maiy toh hijazi hai meri
Naghma hindi hai toh kya, laiy toh hijaazi hai meri

This post has been edited by AzgarKhan: Apr 4 2008, 12:09 PM

_______________________________________________________________________________
My Youtube Videos
Palestine belongs to the Arabs in the same sense that England belongs to the English or France to the French.
It is wrong and inhuman to impose the Jews on the Arabs. - Mohandas Karamchand Gandhi
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
AzgarKhan
post Aug 1 2005, 07:13 AM
Post #3

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 4425
Joined: 23-January 04
From: New York (USA) / Hyderabad (India)
Member No.: 205

J A W A B - E - S H I K W A

Shikwa created a huge controversy and Sir Iqbal answered the controversy by penning Jawab-e-Shikwa.

_______________

Dil se jo baat nikalti hai, asar rakhti hai,
Par nahin, taaqat-e-parwaaz magar rakhti hai.

Qudsi-ul-asal hai, rif-atpe nazar rakhti hai,
Khaak se uthti hai, gardoon pe guzar rakhti hai.

Ishq tha fitna gar-o-sarkash-o-chalaak mera,
Aasman cheer gaya naala-e-bebaak mera.

_______________

Pir-e-gardoon ne kaha sun ke, kahin hai koi!
Bole sayyaare, sar-e-arsh-e-bareen hai koi!

Chaand kehta tha, nahin, ahl-e-zamin hai koi!
Kehkashaan kehti thi, poshida yahin hai koi!

Kuch jo samjha mere shikwe ko, to Rizwan samjha,
Mujhe jannat se nikala hua insaan samjha.

_______________

Thi farishton ko bhi hairat, ke yeh aawaaz hai kya!
Arsh waalon pe bhi khulta nahin yeh raaz hai kya!

Taa sar-e-arsh bhi insaan ki tag-o-taaz hai kya?
Aa gai khak ki chutki ko bhi parwaaz hai kya?

Ghaafil aadaab se sukkaam-e-zamin kaise hain,
Shokh-o-gustaakh yeh pasti ke makeen kaise hain,

_______________

Is qadar shokh ke Allah se bhi barham hai,
Tha jo masjud-e-malaik yeh wohi Aadam hai?

Aalim-e kaif hai, dana-e-ramuz-e-kam hai,
Haan, magar ijz ke asrar se namahram hai.

Naaz hai taaqat-e-guftaar pe insaanon ko,
Baat karne ka saliqa nahin nadaanon ko!

_______________

Aai awaaz gham-angez hai afsana tera,
Ashk-e-betaab se labrez hai paimana tera.

Shukr shikwe ko kiya husn-e-ada se tu ne,
Hum-sukhan kar diya bandon ko khuda se tu ne.

Hum toh mayal ba-karam hai, koi saahil hi nahin,
Raah dikhlain kise rahraw-e-manzil hi nahin.

_______________

Tarbiat aam toh hai, jauhar-e-qabil hi nahin,
Jis se taamir ho aadam ki yeh who gil hi nahin.

Koi qabil ho to hum shaan kayi dete hain;
Dhoondne waalon ko duniya bhi nayi dete hain!

Haath be-zor hain, ilhaad se dil khoo-gar hai,
Ummati baais-e-ruswai-e-paighamber hai.

_______________

But-shikan uth gaye, baaqi jo rahe but-gar hain,
Tha Brahim pidar, aur pisar Aazar hain.

Bada ashaam naye baada naya khum bhi naye,
Harm-e-Kaaba naya, but bhi naye, tum bhi naye.

Who bhi din the ke yehi maya-e-raanai tha,
Naazish-e-mausam-e-gul lala-e-sahraai tha!

_______________

Jo Musalmaan tha Allah ka saudai tha,
Kabhi mehboob tumhara yehi harjaai tha.

Saffah-e-dahar se baatil ko mitaya kis ne?
Nau-e-insaan ko ghulami se chhuraya kis ne?

Mere Kaabe ko jabeenon se basaya kis ne?
Mere Quran ko seenon se lagaya kis ne?

_______________

They toh aaba woh tumhaare hi, magar tum kya ho?
Haath par haath dhare muntezir-e-farda ho!

Kya kaha? "bahr-e-musalmaan hai faqt waade-e-hur,"
Shikwa beja bhi kare koi toh laazim hai shaoor!

Adal hai faatir-e-hasti ka azal se dastur,
Muslim aaeen hua kafir tau mile hur-o-qasur;

_______________

Tum mein hooron ka koi chahne wala hi nahin,
Jalwa-e-tur toh maujood hai, Moosa hi nahin.

Munfait ek hai is qaum ki, nuqsaan bhi ek,
Ek hi sab ka nabi, deen bhi, imaan bhi ek,

Harm-e-paak bhi, Allah bhi, Quran bhi ek,
Kuchh bari baat thi, hote jo musalmaan bhi ek!

_______________

Firqa bandi hai kahin, aur kahin zaaten hain.
Kya zamane mein panpane ki yehi baaten hain?

Jaa ke hote hain masaajid mein saf-aara toh gharib,
Zahmat-e-roza jo karte hain gawara toh gharib.

Naam leta hai agar koi hamara, toh gharib,
Pardah rakhta hai agar koi tumhara, toh gharib.

_______________

Umra nasha-e-daulat mein hain ghafil hum se,
Zinda hai millat-e-baiza ghurba ke dam se.

Shor hai ho gaye duniya se musalmaan naabood,
Hum yeh kahte hain ke they bhi kahin Muslim maujood?

Waza mein tum ho nisari, toh tamuddan mein Hanood,
Yeh musalmaan hain! Jinhen dekh ke sharmain Yahud?

_______________

Baap ka ilm na bete ko agar azbar ho,
Phir pisar qabil-e-miraas-e-pidar kyonkar ho!

Har koi mast-e-mai-e-zauq-e-tan aasaani hai,
Tum musalmaan ho? Yeh andaaz-e-musalmaani hai?

Chaahte sab hain ke hon auj-e-surayya pe muqeem,
Pahle waisa koi paida toh kare qalb-e-salim!

_______________

Ahd-e-nau barq hai, aatish zan-e-har khirman hai,
Aiman is se koi sahra no koi gulshan hai.

Is nai aag ka aqwaam-e-kuhan eendhan hai,
Millat-e-khatam-e-rasal shoula ba parahan hai.

Dekh kar range-e-chaman ho na pareshan maali,
Kookab-e-ghuncha se shaakhen hain chamakne wali,

_______________

Khash-o-khashaak se hota hai gulistan khaali,
Gul bar andaaz hai khun-e-shuhda ki laali.

Rang gardoon ka zara dekh tau unnabi hai,
Yeh nikalte hue suraj ki ufaq taabi hai.

Nakhl-e-Islam namoona hai bro-mandi ka,
Phal hai yeh sainkron saalon ki chaman bandi ka.

_______________

Qaafila ho na sakega kabhi weeran tera,
Ghair yak baang-e-dara kuchh nahin samaan tera.

Nakhl-e-shama asti-o-dar should dood resha-e-tu,
Aaqbat soz bood saya-e-andesha-e-tu.

Ki Mohammed se wafa too ne toh hum tere hain,
Yeh jahan cheez hai kya, lauh-e-qalam tere hain.

_______________

This post has been edited by AzgarKhan: Apr 12 2008, 12:58 PM

_______________________________________________________________________________
My Youtube Videos
Palestine belongs to the Arabs in the same sense that England belongs to the English or France to the French.
It is wrong and inhuman to impose the Jews on the Arabs. - Mohandas Karamchand Gandhi
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Zeeshan
post Aug 2 2005, 05:47 AM
Post #4

Unregistered

Kabhii ai haqiiqat-e-mu.ntazir nazar aa libaas-e-majaaz me.n
Ke hazaaro.n sajde ta.Dap rahe hai.n terii jabiin-e-niyaaz me.n

Tarab aashanaa-e-Kharosh ho tuu navaa hai maharam-e-gosh ho
Wo suruur kyaa ke chhaayaa huaa ho sukuut-e-pardaa-o-saaz me.n

Tuu bachaa bachaa ke na rakh ise teraa aa_iinaa hai vo aa_iinaa
Ke shikastaa ho to aziiz tar hai nigaah-e-aa_iinaa-saaz me.n

Dam-e-tauf kar mak-e-shammaa na ye kahaa ke vo asr-e-kohan
Na terii hikaayat-e-soz me.n na merii hadiis-e-gudaaz me.n

Na kahii.n jahaa.N me.n aman milii jo aman milii to kahaa.N milii
Mere jurm-e-KhaanaaKharaab ko tere azo-e-ba.ndaa-navaaz me.n

Na vo ishq me.n rahii.n garmiyaa.N na vo husn me.n rahii.n shoKhiyaa.N
Na vo Gazanavii me.n ta.Dap rahii na vo Kham hai zulf-e-ayaaz me.n

Jo mai.n sar-ba-sajdaa kabhii huaa to zamii.n se aane lagii sadaa
Teraa dil to hai sanam-aashanaaa tujhe kyaa milegaa namaaz me.n

Sir Allama Mohammad "Iqbal"
Go to the top of the page
+Quote Post
qhabibi
post Aug 2 2005, 03:41 PM
Post #5

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1543
Joined: 7-November 03
From: Islamabad, Pakistan
Member No.: 94

Ataa Hai Yaad Mujhko Guzra Hua Zamana
Woh Baagh Ki Baharein Woh Sab Ka Chah-Chahana

Aazaadiyan Kahan Woh ab Apne Ghonsle Ki
Apni Khushi Se Aana Apni Khushi Se Jana

Lagati Ho Chot Dil Par, Aata Hai Yaad Jis Dam
Shabnam ke Aansuon Par Kaliyon Ka Muskurana

Woh Pyaari Pyaari Surat, Woh Kamini Si Murat
Aabad Jis ke Dam Se Tha Mera Aashiyana

*************Sir Mohammed Iqbal*********

..............QHabibi Most Wanted....................
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
ZUHA_ALI
post Aug 16 2005, 09:07 PM
Post #6

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1870
Joined: 13-March 05
Member No.: 1834

Tere Ishq Ki Inteha Chatah Hoon..
Mere Saadigi Dhek Kya Chatah Hoon

Never give up on the things that make you smile !!
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
ZUHA_ALI
post Aug 17 2005, 06:17 AM
Post #7

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1870
Joined: 13-March 05
Member No.: 1834

QUOTE(Zaira @ Aug 17 2005, 05:35 AM)
~~

Khud hi ko ker buland itna keh her taqdeer say pehlay
Khuda bandey say khud poochay bata teri raza kia hai

~~

In Pakistan, i remember i heard a parody of this sher

Goes like this:

Khud hi ko ker buland itna keh K2 ki pahaadi pay pohonch jaa
Khuda bandey say khud poochay ullu kay pathay--chadha kyon tha  laugh.gif

Well sorry for the lingo---but i find it soo funny--bohot dinon baad yaad aaya

~~

*

Yeh Shair Kuch Aise Tha

Khudi Ko ker buland itna kah har taqdeer say phelay
Khuda banday yeh khud pucha upar toh char gaya abb neechay kaise aye ga wink2.gif

Never give up on the things that make you smile !!
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
ZUHA_ALI
post Aug 17 2005, 12:40 PM
Post #8

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1870
Joined: 13-March 05
Member No.: 1834

QUOTE(Zaira @ Aug 17 2005, 06:22 AM)
QUOTE(ZUHA_ALI @ Aug 17 2005, 06:17 AM)
QUOTE(Zaira @ Aug 17 2005, 05:35 AM)
~~

Khud hi ko ker buland itna keh her taqdeer say pehlay
Khuda bandey say khud poochay bata teri raza kia hai

~~

In Pakistan, i remember i heard a parody of this sher

Goes like this:

Khud hi ko ker buland itna keh K2 ki pahaadi pay pohonch jaa
Khuda bandey say khud poochay ullu kay pathay--chadha kyon tha  laugh.gif

Well sorry for the lingo---but i find it soo funny--bohot dinon baad yaad aaya

~~

*

Yeh Shair Kuch Aise Tha

Khudi Ko ker buland itna kah har taqdeer say phelay
Khuda banday yeh khud pucha upar toh char gaya abb neechay kaise aye ga wink2.gif

*

~~
That must be ur version smile1.gif
I quoted whatever i heard!
~~

*

And I qouted whatever i read wink2.gif

Never give up on the things that make you smile !!
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
BadaBhai
post Aug 20 2005, 02:16 PM
Post #9

Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 68
Joined: 13-July 05
Member No.: 2774

SIR MOHAMMED IQBAL

SADAA-E-DARD

Nahi minnut-kashe taab-e-shaneeden daasta-n meri
Khamoshi guftagoo hai,be-zabaani hai zabaa-n meri

Yeh dastoor-e-zabaa-n bandi hai kaisa teri mehfil may
Yaha-n to baat kernay ko terasti hai zabaa-n meri

Uthaye kuch waraq laalay nay,kuch nergis nay,kuch gul nay
Chaman may her taruf bikhri huwi hai dastaa-n meri

Udaai qumriyo-n nay,tootiyo-n nay andaleebo-n nay
Chaman waalo nay mil ker loot li turz-e-foogaa-n meri

Tapak ai shamma aansoo bun kay perwaanay ki nazro-n say
Saraapa dard hoo-n, hasrat bhri hai dastaa-n meri

Illahi! phir mazaa kiya hai yaha-n duniya may jeenay ka
Hayaat-e-jaawidaa-n meri, na murg-e-na-gahaa-n meri

Mera rona nahi, rona hai yeh saare gulistaa-n ka
Woh gul hoo-n mai, khizaa-n her gul ki hai goya khizaa-n meri

Riyaz-e-dehr may na aashnaa-e-bazm-e-ishrut hoo-n
Khooshi roti hai jis ko, mai woh mehroom-e-musarrut hoo-n

Meri bigdi huwi taqdeer ko roti hai goyaa-i
Mai harf-e-zayr-e-lub, sharmindaa-e-goshay samaa-at hoo-n

Pareesha-n hoo-n mai moosht-e-khaak, lekin kuch nahi khultaa
Sikander hoon kay aaina hoon ya gard-e-kadoorut hoon

Ye sub kuch hai mager hasti meri maqsad hai qudrat ka
Saraapa noor ho jis ki haqeeqat, mai woh zulmat hoon

Khazeena hoo-n, chupaaya mujh ko moosht-e-khaak-e-sayhraa nay
Kisi ko kiya khaber hai mai kaha-n hoo-n, kis ki daulat hoon?

Nazer meri nahi mamnoon-e-sair-e-arsaa-e-hasti
mai woh choti si duniya hoo-n kay aap apni vilaayet hoo-n

Na sahbaa hoon, na saaqi hoon, na masti hoon, na paimaana
Mai is mai-khaana-e-hasti may her shai ki haqeeqat hoon

Mujhay raaz-e-do aalam dil ka aaina dikhaata hai
Wohi kahtaa hoon jo kuch saamnay aankhon kay aata hai

Ataa aisa bayaa-n mujh ko huwa, rangee-n bayaano may
Ke baam-e-arsh ke taair hai meray hum-zabaano may

Aser yeh bhi hai ek meray junoon-e-fitnaa saamaa-n ka
Mera aaina-e-dil hai, qazaa kay raaz-daano may

Roolataa hai tera nazzaraa aai Hindoosta-n mujh ko
Ke ibrut khaiz hai tera fasaana sub fasaano-n may

Diya rona mujhay aaisa kay sub kuch day diya goyaa
Likha kalk-e-azal nay mujh ko teray nauhaa-khwaano-n may

Nishaan-e-burg-e-gul tak bhi na chod is baagh may gulchee-n!
Teri qismat say razm aaraaiyaa-n hai baagh baano-n may

Chupa ker aastee-n may bijliyaa-n bher di hai gurdoo-n nay
Anaadil baagh kay gaafil na baithay aashiyaano-n may

Soon ai gaafil sadaa meri! yeh aisi cheez hai jis ko
Wazeefa jaan ker padhtay hai taair bostaano-n may

Watan ki fiker ker naadaa-n! moosibut aanay wali hai
Teri berbaadiyo-n kay mashwaray hai aasmaano-n may

Zara dekh oos ko jo kuch ho raha hai, honay waala hai
Dharaa kiya hai bhalaa ahd-e-shiken ki daastaano-n may

Ye khamoshi kaha-n tak? lazzate-friyaad paidaa ker!
Zamee-n per too ho, aur teri sadaa ho aasmaano-n may

Na samjho gay to mit jaao gay ai Hindoostaa-n waalo!
Tumhaari daastaan tak bhi na hogi daastaano-n may

Yehi aain-e-qudrat hai,yehi asloob-e-fitrat hai
Jo hai raah-e-amal may gaamzen,mahboob-e-fitrat hai

Ho-yedaa aaj apnay zakhm pinhaa-n ker kay chodoo-n ga
Lahoo ro ro kay mehfil ko gulistaa-n ker kay chodoo-n ga

Jalaana hai mujhay her shamma-e-dil soz-e-pinhaa-n say
Teri weeraan raato-n may chiraagaa-n ker kay chodoo-n ga

Mager gooncho-n ki soorat hoo dil-e-dard aashnaa paidaa
Chaman may mooshte-khaak apni pareeshaa-n ker kay chodoo-n ga

Pironaa ek hi tasbeeh may in bikhray daano ko
Jo mooshkil hai, to is mooshkil ko aasaa-n ker kay chodoo-n ga

Mujhay ai hum-nashee-n, rehnay day shoogl-e-seena kaawi may
Ke mai daag-e-mohabbat ko noomaayaa-n ker kay chodoo-n ga

Dikha doo-n ga jahaa-n ko jo meri aankhon nay dekha hai
Tujhay bhi soorat-e-aaina hairaa-n ker kay chodoo-n ga

Jo hai perdo-n may pinhaa-n, chasm-e-beena dekh layti hai
Zamaanay ki tabiyat ka taqaaza dekh layti hai

Kiya rafat ki lazzat say na dil ko aashnaa too nay
Gujaari oomr pasti may misaal-e-naqsh-e-paa too nay

Raha dil bustaa-e-mehfil, mager apni nigaaho-n ko
Kiya bairoon-e-mehfil say na hairut aashnaa too nay

Fida kertaa raha dil ko haseeno-n ki adaao-n per
Mager dekhi na is aainay may apni adaa too nay

Taas-soob chod nadaa-n! deher kay aaina khaanay may
Ye tasweeray hai teri jin ko samjha hai bura too nay

Saraapa naala-e-bedaad-e-soz-e-zindagi ho jaa!
Sipund aa saagraah may baandh rukkhi hai sadaa too nay

Safaa-e-dil ko kiya aaraaish-e-rung-e-taal-luq say
kaf-e-aaina per baandhi hai o naadaa-n! heena too nay

Zamee-n kiya aasmaa-n bhi teri kuj beeni pay rota hai
Gazab hai satr-e-quran ko chleepaa ker diya too nay

Zabaa-n say ger kiya tawheed ka dawaa to kiya haasil!
Banaaya hai boot-e-pandaar ko apna khuda too nay

Kooway-n may too nay Yusuf ko jo dekha bhi to kiya dekha
A-ray gaafil! jo mootlaq tha mooqaiyed ker diya too nay

Hawas baalaa-e-minber hai tujhay rung-e- bayaani ki
Naseehat bhi teri soorut hai ek afsaana khwaani ki

Dikha woh hosn-e-aalam soz apni chashm-e- poornum ko
Jo tadpaata hai perwaanay ko, roolwaata hai shabnam ko

Niraa naz-zaara hi ai bool-hawas! maqsad nahi is ka
Banaaya hai kisi nay kuch samajh ker chasm-e-Adam ko

Ager dekha bhi oos nay saarey aalam ko to kiya dekha
Nazer aai na kuch apni haqeeqat jaam say jum ko

Shajer hai firqaa aaraai,Taas-soob hai samer is ka
Yeh woh phal hai ke jannat say nikalwaataa hai Adam ko

Na ooth-thaa jazbaa-e- khoorsheed say ek burg-e-gul tak bhi
Yeh raf-at ki tamanna hai ke lay oodti hai shabnam ko

Phiraa kertay nahi majrooh-e-oolfat fikr-e-darmaa-n may
Yeh zakhmi aap ker laytay hai paidaa apnay merhum ko

Mohabbat kay sharer say dil saraapaa noor hota hai
zaraa say beej say paidaa riyaaz-e- toor hota hai

Dawaa her dookh ki hai majrooh-e-tayq-e-aarzoo rehnaa
Ilaaj-e-zakhm hai azaad-e-ahsaa-n-e-rafoo rehnaa

Sharaab-e-bay-khoodi say taa falak perwaaz hai meri
Shikasht-e-rung say seekhaa hai mai nay bun kay boo rehnaa

Thamay kiya deeda-e-giryaa-n watan ki nawhaa khwaani may
Ibaadat chashm-e-shaair ki hai her dum baa wazoo rehnaa

Banaaye kiya samajh ker shaakh-e-gul per aashiyaa-n apna
Chaman may aah! kiya rehnaa jo ho bay-aabroo rehnaa

Jo too samjhay to azaadi hai posheedaa mohabbat may
Gulaami hai aseer-e-imtiyaaz-e-maad too rehnaa

Ye istugnaa hai paani may nagoo-n rakhtaa hai saagar ko
Tujhay bhi chahiye misle-habaab-e-aab-joo rehnaa

Na reh apno say bay perwaa isee may khair hai teri
Ager manzoor hai duniya may o, baygaanaa khoo! rehnaa

Shraab-e-rooh perwer hai mohabbat nauw-e-insaa-n ki
Sikhaaya is nay mujh ko mast bay jaam-o-sooboo rehnaa

Mohabbat hi say paayi hai shifaa beemaar qaumo-n nay
Kiyaa hai apnay bakht-e-khooftaa ko bay-daar qaumo-n nay

Bayaa-baan-e-mohabbat dusht goorbut bhi, watan bhi hai
Ye weeraana qafas bhi, aashiyaana bhi, chaman bhi hai

Mohabbat hi woh manzil hai ke manzil bhi hai sayhra bhi
Jarus bhi, karwaa-n bhi,raahber bhi, raahzen bhi hai

Meruz kayhtay hai sub is ko, yeh hai lekin meruz aisaa
Choopa jis may illaj-e-gardish-e-churkh-e-kohen bhi hai

Jalaana dil ka hai goya saraapa noor ho jaana
Ye perwaana jo soozaa-n ho to shamm-e-anjuman bhi hai

Wohi ek husen hai, lekin nazer aata hai her shaai may
Ye Sheeri-n bhi hai goya,bay-satoo-n bhi,Koh-ken bhi hai

Oojaada hai tameez-e-millat-o-aai-n nay qaumo-n ko
Mera ahlay watan kay dil may kuch fikr-e- watan bhi hai?

Sookoot aamoz tool-e-dastaan-e-dard hai, wer na
Zabaa-n bhi hai humaaray moonh may aur taab-e-sookhen bhi hai

"Nameeger deed kota rishtaa-e-maani rahaa kerdum
Hiqaayet bood bay-paaya-n, baa-khaamoshi adaa kerdum"

BB
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
ZUHA_ALI
post Aug 20 2005, 05:20 PM
Post #10

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1870
Joined: 13-March 05
Member No.: 1834

QUOTE(BadaBhai @ Aug 20 2005, 02:16 PM)

Good Job BB g[B]

Never give up on the things that make you smile !!
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
BadaBhai
post Aug 21 2005, 01:43 AM
Post #11

Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 68
Joined: 13-July 05
Member No.: 2774

[quote=ZUHA_ALI,Aug 20 2005, 02:50 PM]
[quote=BadaBhai,Aug 20 2005, 02:16 PM]SIR MOHAMMED IQBAL

Good Job BB g[B]
*

[/quote]

Thanks Zuha Jee

BB
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
ZUHA_ALI
post Aug 21 2005, 10:43 AM
Post #12

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1870
Joined: 13-March 05
Member No.: 1834

[quote=BadaBhai,Aug 21 2005, 01:43 AM]
[quote=ZUHA_ALI,Aug 20 2005, 02:50 PM]
[quote=BadaBhai,Aug 20 2005, 02:16 PM]SIR MOHAMMED IQBAL

Good Job BB g[B]
*

[/quote]

Thanks Zuha Jee

BB
*

[/quote]

Ya Welcome

Never give up on the things that make you smile !!
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
desi
post Aug 24 2005, 01:14 AM
Post #13

Regular Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 410
Joined: 7-April 05
Member No.: 2012

mohabbat ka junuu.N baaqii nahii.n hai
musalamaano.n me.n Khuun baaqii nahii.n hai

safe.n kaj, dil pareshan, sajdaa bezuuk
ke jazabaa-e-a.ndruun baaqii nahii.n hai

rago.n me.n lahuu baaqii nahii.n hai
wo dil, wo aawaaz baaqii nahii.n hai

namaaz-o-rozaa-o-qurbaanii-o-haj
ye sab baaqii hai tuu baaqii nahii.n hai
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
humble_rafi
post Aug 24 2005, 06:03 PM
Post #14

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 2677
Joined: 29-January 05
Member No.: 1609

I would say that SIR IQBAL put life to words.I have't read much of his work but i really like the vision that he had expressed in each of his mater pieces.

just feel the humanitarian aspect when he says

MAZHAB NAHIN SEEKHATA,AAPAS MEIN BAIR RAKHNA
HINDI HAI HUM WATAN HAI HINDUSTAN HUMARA

cry.gif i wish i could see this in reality ,in my lifetime.

ALLAHA HAFIZ

I NEVER HEARD AN ANGEL SINGING,YES I HEARD MOHAMMED RAFI SAHAB.

I LOVE THEE RAFI SAHAB

Saanson Ki Maala Pay, Simron Main Pi Ka Naam......Ustad Nusrat Fateh Ali Khan Sahab
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
BadaBhai
post Aug 28 2005, 11:36 PM
Post #15

Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 68
Joined: 13-July 05
Member No.: 2774

Sir Mohammed Iqbal

Rookhsat ai bazm-e-jahaa-n! soo-e-watan jaata hoo-n mai
Aah! is aabaad weeranay may ghabraata hoo-n mai

Bus ke mai afsoordaa dil hoo-n,der koor-e-mehfil nahi-n
Too mere qaabil nahi hai, mai tere qaabil nahi-n

Qaid hai darbaar-e-sultaan-o-shabistaan-e-wazeer
Tod ker niklay ga zanzeer-e-talaai ka aseer

Go badi lazzat teri, hungaama aaraai may hai
Ajnabeeyat si mager teri shanaa-saai may hai

Muddato-n tere khood aaraa-on se hum sohbat raha
Muddato-n be-taab mauj-e-baher ki soorat raha

Muddato-n baitha tere hungaama-e-ishrat may mai
Roshni ki joostajoo kerta raha zulmat may mai

Muddato-n dhoonda kiya naz-zaara-e- gul khaar may
Aah! woh Yusuf na haath aaya tere bazaar may

Chushm-e- hairaa-n dhoondti ab aur nazzaaray ko hai
Aarzoo sahil ki mujh toofaan ke maaray ko hai

Chod ker maanind-e-boo, tera chaman jaata hoo-n mai
Rukhsat ai bazm-e-jahaa-n soo-e-watan jaata hoo-n mai

Ghar banaya hai sookoot-e-daman-e-koh-saar may
Aah! ye lazzat kaha-n moosiqi-e-gooftaar may!!

Hum-nasheen-e-nargis-e-shaahla, rafeeq-e-gul hoo-n mai
Hai chaman mera watan, hum-saaya-e-bul bul hoo-n mai

Shaam ko awaaz chashmo-n ki soolaati hai mujhe
Subha fershay sabz say koyal jagaati hai mujhe

Bazm-e-hasti may hai sub ko mahfil-aaraai pasand
Hai dil-e-shaair ko lekin kanj-e-tanhaai pasand

Hai junoo-n mujh ko ke ghabraata hoo-n aabaadi may mai
Dhoondhtaa phirtaa hoo-n kis ko koh ki waadi may mai

Shauq kis ka subzaa-zaaro-n may phiraata hai mujhe??
Aur chashmo-n ke kinaaro-n per soolaata hai mujhe??

Taana-zen hai too ke shaaida kunj-e-oozlat ka hoo-n mai
Dekh ai gaafil!!payaami bazm-e-qudrat ka hoo-n mai

Hum watan shamshaad ka, qoomri ka mai hum-raaz hoo-n
Is chaman ki khaamsi may gosh ber awaaz hoo-n

Kuch jo suntaa hoo-n to auro-n ko sunaanay ke liye
Dekhta hoo-n kuch to auro-n ko dikhaane kay liye

Aashiq-e-oozlat hai dil, naazaa-n hoo-n apne ghar pay mai
Khandaa-zen hoo-n masnad-e-Daara-o-Iskander pe mai

Laytnaa zer-e-shajer rakhtaa hai jaado ka aser
Shaam ke taare pe jub padti hai reh reh ke nazer

Ilm ke hairut kaday may hai kaha-n is ka namood!!
Gul ki patti may nazer aata hai raaz-e-hast-o-bood!!

BB

User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post

3 Pages V  1 2 3 >
Reply to this topicStart new topic
1 User(s) are reading this topic (1 Guests and 0 Anonymous Users)
0 Members:

- Lo-Fi Version | Disclaimer | HF Guidelines | Be An Angel Time is now: 28th March 2024 - 10:19 PM