Printable Version of Topic

Click here to view this topic in its original format

Hamara Forums _ Shayaris & Tukbandis _ Bahaar Aayi

Posted by: noorie Apr 12 2008, 07:07 PM

Bahaar Aayi

Attached Image

bahaar aayi
toh jaise yaqbaar
laut aaye
hain phir addam se
woh khwaab saare
shabaab saare

joh tere honton pe mar mite the
joh mit ke har baar phir jiye the
nikhar gaye hain
gulaab saare
joh teri
yaadon se mushkoboo hain
joh tere
ushaaq ka lahoo hain
bahaar aayi

ubbal pade hain azaab saare
malaal-e-ehwaal dostaan bhi
khumaar-e-aaghosh-e-may washaan bhi
ghubaar-e-khaatir ke baab saare
tere hamare
sawaal saare
jawaab saare

bahaar aayi toh khul gaye hain
naye sirre se hisaab saare
naye sirre se hisaab saare
bahaar aayi, bahaar aayi

- Faiz Ahmed Faiz




Posted by: noorie Apr 12 2008, 11:03 PM

In Tina Sani's voice.



-Noorie-

Posted by: noorie Apr 12 2008, 11:08 PM

Attached Image

Harriet Beecher Stowe writes of the crocus bulb:

"Ah, deeper down--cold, dark, and chill--
We buried our heart's flower,
But angel-like shall he arise
In spring's immortal hour."

-Noorie-

Powered by Invision Power Board (http://www.invisionboard.com)
© Invision Power Services (http://www.invisionpower.com)