Visit our other dedicated websites
Asha Bhonsle Geeta Dutt Hamara Forums Hamara Photos Kishore Kumar Mohd Rafi Nice Songs Shreya Ghoshal
Hamara Forums

Welcome Guest ( Log In | Register )

Ahmad Hussain And Mohammad Hussain Ghazals

, Ahmad Hussain and Mohammad Hussain Ghaza

22 Pages V « < 16 17 18 19 20 > »   
Reply to this topicStart new topic
> Ahmad Hussain And Mohammad Hussain Ghazals, Ahmad Hussain and Mohammad Hussain Ghaza
bibhas
post Jan 31 2007, 05:54 PM
Post #256

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1721
Joined: 23-November 04
From: USA
Member No.: 1314

QUOTE(rhitian @ Jan 29 2007, 05:25 PM) *

Hey Bibhas,
I joined this forum for one particular song i have been looking for a very long time. Maikhane mein baithe hain aur mai ko taraste hain. I believe it was posted here sometime last year but I can no longer get it.
Is there anyway you can email that to me. I would ask you to just post it here but I just downloaded a song and now my ratio is not 0.5 so i can download anything else. If you could forward it to me at rhitian@yahoo.com, i would be very greatful.

Thank you.

Rhitian,
Here it is: 15:13 @ 128kbps.
I am uploading it here instead of emailing you to keep the spirit of HF alive. Hopefully this will encourage further participation from you to boost your ratio and enable the download. Seems like you are a big Hussain brothers' fan judging by the fact that you joined HF in search of this single ghazal. Please feel free to share your interests with the participants of this thread.

Inaam, Shaibaal and Anjvajay: If you haven't already heard this ghazal, I would highly recommend it. It is a lovely composition in Raag Darbari Kanada with a generous dose of sargam in it. IMO, it belongs right up there with the other ghazal-e-mai-parasti in Darbari: "hungama hain kyon barpa".

Maikhane mein baithe hain aur mai ko taraste hain
Mahaul hai phoolon ka, pathhar se baraste hain

Bibhas

A science that does not deliver us to the portals of metaphysics is a failed science and a religion that does not embrace physics is not grounded in reality.
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Inaam
post Jan 31 2007, 09:33 PM
Post #257

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 3602
Joined: 15-January 04
From: Pakistan
Member No.: 187

QUOTE(bibhas @ Jan 31 2007, 05:54 PM) *

Bibhas!!!! Jab jab tumne kuchh recommend kiya hai, wo laajaawab cheez saabit huwi hai. So nice of you for uploading this ghazal, (advance shukriya : ) abhi d/l karta hoon. smile1.gif

User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
anjvajay
post Jan 31 2007, 11:43 PM
Post #258

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1210
Joined: 28-November 06
Member No.: 7705

QUOTE(bibhas @ Jan 31 2007, 05:54 PM) *

QUOTE(rhitian @ Jan 29 2007, 05:25 PM) *

Hey Bibhas,
I joined this forum for one particular song i have been looking for a very long time. Maikhane mein baithe hain aur mai ko taraste hain. I believe it was posted here sometime last year but I can no longer get it.
Is there anyway you can email that to me. I would ask you to just post it here but I just downloaded a song and now my ratio is not 0.5 so i can download anything else. If you could forward it to me at rhitian@yahoo.com, i would be very greatful.

Thank you.

Rhitian,
Here it is: 15:13 @ 128kbps.
I am uploading it here instead of emailing you to keep the spirit of HF alive. Hopefully this will encourage further participation from you to boost your ratio and enable the download. Seems like you are a big Hussain brothers' fan judging by the fact that you joined HF in search of this single ghazal. Please feel free to share your interests with the participants of this thread.

Inaam, Shaibaal and Anjvajay: If you haven't already heard this ghazal, I would highly recommend it. It is a lovely composition in Raag Darbari Kanada with a generous dose of sargam in it. IMO, it belongs right up there with the other ghazal-e-mai-parasti in Darbari: "hungama hain kyon barpa".
Maikhane mein baithe hain aur mai ko taraste hain
Mahaul hai phoolon ka, pathhar se baraste hain

Bibhas

Thanks Bhibhasji,
Ek arshe baad Hussain Bandhu ke purane rung ki koi cheez sunane ko mili.
Lekin maazrat chahata hoon ye ghazal-e-mai-parasti nahi hai.
"Mai" yahan Alaamat bhar hai. Aur "hungama hain kyon barpa" ka bhi jis tarah se istemal hota hai use dekh kar Akabar Alahabadi ki rooh roti hogi.(Bawajood iske ki Akabar ek Majahiya Shayar ke taur par mashahoor hai, ek sanzida aur soofi kism ke insaan the) Akabar ne isi ghazal ke ek sher me saaf likha hai:

Us mai se nahi matlab, dil jis se ho begana
Matloob hai us mai se, dil hi me jo khichti hai

Mai itna saara kuchh isliye likh raha hoon ki is ghazal-e-mai-parasti ne Ghazal-Gayaki ka bahut bada nuksan kiya hai. Aur yakinan mai parasti ne bhi. 'Shahajahan' me Naushad ne Sahagal se jab bina sarab ke gawa ke dikhaya, tuo Sahagal ro pade the. Kyo ki logon ne unke baare me ye baat faila rakhi thi ki wo bina piye aachha gaa hi nahi sakte,aur Sahagal khud bhi is galatfahmi ka shikar ho gaye the. Batane ki jarurat nahi hai ki Shahajahan tak aate-aate waqt unke haath se nikal chuka tha,sarab tab tak unhe pee chuki thi, yeh unki aakhiri film sabit huyi.
Gahazal-Gayaki ne is mai ki bajah se kafi bure din dekhe hai. Khaas tuar se Pankaj Udhas jaise logon ko kuch din sun kar aisa lagta tha ki Begum Akhtar ne jis ghazal ko kothe se utara tha in logon ne use chandukhane me baitha diya hai. Shukar hai ab halat fir badal rahe hai.Wo is liye bhi ki log ab in ki mai-mai sun kar tang aa gaye the.
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Inaam
post Feb 1 2007, 12:18 AM
Post #259

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 3602
Joined: 15-January 04
From: Pakistan
Member No.: 187

QUOTE(anjvajay @ Jan 31 2007, 11:43 PM) *

Thanks Bhibhasji,
Ek arshe baad Hussain Bandhu ke purane rung ki koi cheez sunane ko mili.
Lekin maazrat chahata hoon ye ghazal-e-mai-parasti nahi hai.
"Mai" yahan Alaamat bhar hai. Aur "hungama hain kyon barpa" ka bhi jis tarah se istemal hota hai use dekh kar Akabar Alahabadi ki rooh roti hogi.(Bawajood iske ki Akabar ek Majahiya Shayar ke taur par mashahoor hai, ek sanzida aur soofi kism ke insaan the) Akabar ne isi ghazal ke ek sher me saaf likha hai:

Us mai se nahi matlab, dil jis se ho begana
Matloob hai us mai se, dil hi me jo khichti hai

Mai itna saara kuchh isliye likh raha hoon ki is ghazal-e-mai-parasti ne Ghazal-Gayaki ka bahut bada nuksan kiya hai........

Gahazal-Gayaki ne is mai ki bajah se kafi bure din dekhe hai. Khaas tuar se Pankaj Udhas jaise logon ko kuch din sun kar aisa lagta tha ki Begum Akhtar ne jis ghazal ko kothe se utara tha in logon ne use chandukhane me baitha diya hai. Shukar hai ab halat fir badal rahe hai.Wo is liye bhi ki log ab in ki mai-mai sun kar tang aa gaye the.

Well Said, Anjvajay ji clap1.gif Sach kahoon to aapne mere khayalaat ko zubaan de di. Khush Rehye! tongue1.gif

QUOTE
Aur yakinan mai parasti ne bhi. 'Shahajahan' me Naushad ne Sahagal se jab bina sarab ke gawa ke dikhaya, tuo Sahagal ro pade the. Kyo ki logon ne unke baare me ye baat faila rakhi thi ki wo bina piye aachha gaa hi nahi sakte,aur Sahagal khud bhi is galatfahmi ka shikar ho gaye the. Batane ki jarurat nahi hai ki Shahajahan tak aate-aate waqt unke haath se nikal chuka tha,sarab tab tak unhe pee chuki thi, yeh unki aakhiri film sabit huyi.

I think you are mixing up Khursheed Awar with Naushad. Ye Khursheed Anwar thay jinhon ne Sehgal Sahab ko bina sharab ke gawaaya, film thi 'Parwana', and this was Sehgal Sahab's last film.

User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
anjvajay
post Feb 1 2007, 01:59 AM
Post #260

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1210
Joined: 28-November 06
Member No.: 7705

QUOTE(Inaam @ Feb 1 2007, 12:18 AM) *

[I think you are mixing up Khursheed Awar with Naushad. Ye Khursheed Anwar thay jinhon ne Sehgal Sahab ko bina sharab ke gawaaya, film thi 'Parwana', and this was Sehgal Sahab's last film.

Inaam Sahab 'Parwana' ke sare gaane Shajahan se pahale hi record ho chooke the. Bataur Singar akhiri baar Sahgal ne aawaj Shajahan ke liye hi di thi.Bina sarab ke gawane ka credit bhi Naushad Sahab ko hi jata hai. Ye baat unhone khud "Jaymala" ke ek program me kahi thi jo maine khud suna tha.
Is baat ka jikar downmelodylane par bhi hai:
http://www.downmelodylane.com/klsaigal.html
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
bibhas
post Feb 1 2007, 02:11 AM
Post #261

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1721
Joined: 23-November 04
From: USA
Member No.: 1314

QUOTE(anjvajay @ Jan 31 2007, 01:13 PM) *

Thanks Bhibhasji,
Ek arshe baad Hussain Bandhu ke purane rung ki koi cheez sunane ko mili.
Lekin maazrat chahata hoon ye ghazal-e-mai-parasti nahi hai.
"Mai" yahan Alaamat bhar hai. Aur "hungama hain kyon barpa" ka bhi jis tarah se istemal hota hai use dekh kar Akabar Alahabadi ki rooh roti hogi.(Bawajood iske ki Akabar ek Majahiya Shayar ke taur par mashahoor hai, ek sanzida aur soofi kism ke insaan the) Akabar ne isi ghazal ke ek sher me saaf likha hai:

Us mai se nahi matlab, dil jis se ho begana
Matloob hai us mai se, dil hi me jo khichti hai

Mai itna saara kuchh isliye likh raha hoon ki is ghazal-e-mai-parasti ne Ghazal-Gayaki ka bahut bada nuksan kiya hai. Aur yakinan mai parasti ne bhi. 'Shahajahan' me Naushad ne Sahagal se jab bina sarab ke gawa ke dikhaya, tuo Sahagal ro pade the. Kyo ki logon ne unke baare me ye baat faila rakhi thi ki wo bina piye aachha gaa hi nahi sakte,aur Sahagal khud bhi is galatfahmi ka shikar ho gaye the. Batane ki jarurat nahi hai ki Shahajahan tak aate-aate waqt unke haath se nikal chuka tha,sarab tab tak unhe pee chuki thi, yeh unki aakhiri film sabit huyi.
Gahazal-Gayaki ne is mai ki bajah se kafi bure din dekhe hai. Khaas tuar se Pankaj Udhas jaise logon ko kuch din sun kar aisa lagta tha ki Begum Akhtar ne jis ghazal ko kothe se utara tha in logon ne use chandukhane me baitha diya hai. Shukar hai ab halat fir badal rahe hai.Wo is liye bhi ki log ab in ki mai-mai sun kar tang aa gaye the.

Anjvajay saahab,
Please pardon me for using the phrase "ghazal-e-mai-parasti" in a loose way. Aapne jis she'r ka zikr kiya, us se mai achchi tarah waaqif hoon aur appki har rai se main sehmat bhi hoon. "Ghazal-e-Mai-Parasti" kehne mein mera matlab bhi usi mai se tha jo Akbar Ilahabadi ka tha.

Bibhas

A science that does not deliver us to the portals of metaphysics is a failed science and a religion that does not embrace physics is not grounded in reality.
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
anjvajay
post Feb 1 2007, 02:43 AM
Post #262

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1210
Joined: 28-November 06
Member No.: 7705

QUOTE(bibhas @ Feb 1 2007, 02:11 AM) *

Anjvajay saahab,
Please pardon me for using the phrase "ghazal-e-mai-parasti" in a loose way. Aapne jis she'r ka zikr kiya, us se mai achchi tarah waaqif hoon aur appki har rai se main sehmat bhi hoon. "Ghazal-e-Mai-Parasti" kehne mein mera matlab bhi usi mai se tha jo Akbar Ilahabadi ka tha.
Bibhas

Bibhasji galti aapki nahi hai. Kuch chizen mere jajabat ko chhoo jati hain...

User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
anand
post Feb 10 2007, 01:17 AM
Post #263

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1822
Joined: 30-November 06
Member No.: 7780

well folks i think silence here wud b a blessing in as much that i think i m speaking in a very informed and august company,but cant stop myself from adding that if one graduates that doesnt exactly mean that he shuould be looking down on kinder garten.what i mean to say that people like pankaj udhas have at one time incited teenagers like me to ghazals ending up in my learning urdu to understand ghazal.if i am not wrong ,before udhas and the likes the ghazals heard by the generation were so heavy that by default the new generation was averse to hearing these compositions.here i would add that music is not good or bad it is the mood which actually decides because one needs parosan apni murgi ko rakhna sambhal as much one needs zindagi mein to sabhi pyar.
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
anjvajay
post Feb 10 2007, 02:54 PM
Post #264

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1210
Joined: 28-November 06
Member No.: 7705

QUOTE(anand @ Feb 10 2007, 01:17 AM) *

Anandji,
Aisa nahin ki pankaj Udhas mujhe pasand nahin.
Lekin wo log jinhe aap pasand karte hai jab galatiyan karen to dukh aur jayada hota hai.
Maine ek daur ki baat kahi thi jisme ghazal sastepan ka shikar huyi thi.

Aur pankaj ki ghazlon me jab nashe ki ghata chhayi thi wo bachche nahin the unke kayi album aa chuke the. Aur wo bahut papupar bhi the.
Jahan Talak bhi Ye Sahara Dikhayi Deta Hai(Shakeb Jalali) jaisi ghazalen sunane ke baad bekar aur bhaddi shayari Paknkaj se sunkar hamare jaise bahut saare logon ko bhut dukh hota tha.

Jaisa ki maine pichhli post me bhi likha tha, ab badlaw aaya hai aur dusare logon me bhi aur Pankaj me bhi. Isaan Me Haivan, ya Maa(Nida Fazli)jaisi ghazalen sunkar laga ki chlo Pankaj fir ghar ko aaye.

Ab ye ek aam muhawara banta ja raha hai ki aacha aur bura music kuchh nahi hota sab mood par depend karta hai. Is tarah sochen tou aacha aur bura kuchh nahin hota sab aap ke mood par depend karta hai!...
Lekin mai Literature ka aadmi hoon aur agar shayari buri ho tou use sunana (ya padna) pasand nahin karunga.

Kahte hai ki prem andha hota hai. Lekin mai andhe prem ka vakil nahin hoon. Aap jise pyar karte hai agar aap uski galtiyon se bhi pyar karte hai tou sach ye hai ki aap use pyar nahin karte.Pankaj ke baare me aur un saare logon ke baare me jinhe mai pyar karta hoon mera yahi nazariya hai.
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
anand
post Feb 10 2007, 10:37 PM
Post #265

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1822
Joined: 30-November 06
Member No.: 7780

QUOTE(anjvajay @ Feb 10 2007, 02:54 PM) *

QUOTE(anand @ Feb 10 2007, 01:17 AM) *

well folks i think silence here wud b a blessing in as much that i think i m speaking in a very informed and august company,but cant stop myself from adding that if one graduates that doesnt exactly mean that he shuould be looking down on kinder garten.what i mean to say that people like pankaj udhas have at one time incited teenagers like me to ghazals ending up in my learning urdu to understand ghazal.if i am not wrong ,before udhas and the likes the ghazals heard by the generation were so heavy that by default the new generation was averse to hearing these compositions.here i would add that music is not good or bad it is the mood which actually decides because one needs parosan apni murgi ko rakhna sambhal as much one needs zindagi mein to sabhi pyar.

Anandji,
Aisa nahin ki pankaj Udhas mujhe pasand nahin.
Lekin wo log jinhe aap pasand karte hai jab galatiyan karen to dukh aur jayada hota hai.
Maine ek daur ki baat kahi thi jisme ghazal sastepan ka shikar huyi thi.

Aur pankaj ki ghazlon me jab nashe ki ghata chhayi thi wo bachche nahin the unke kayi album aa chuke the. Aur wo bahut papupar bhi the.
Jahan Talak bhi Ye Sahara Dikhayi Deta Hai(Shakeb Jalali) jaisi ghazalen sunane ke baad bekar aur bhaddi shayari Paknkaj se sunkar hamare jaise bahut saare logon ko bhut dukh hota tha.

Jaisa ki maine pichhli post me bhi likha tha, ab badlaw aa aaya hai aur dusare logon me bhi aur Pankaj me bhi. Isaan Me Haivan, ya Maa(Nida Fazli)jaisi ghazalen sunkar laga ki chlo Pankaj fir ghar ko aaye.

Ab ye ek aam muhawara banta ja raha hai ki aacha aur bura music kuchh nahi hota sab mood par depend karta hai. Is tarah sochen tou aacha aur bura kuchh nahin hota sab aap ke mood par depend karta hai!...
Lekin mai Literature ka aadmi hoon aur agar shayari buri ho tou use sunana (ya padna) pasand nahin karunga.

Kahte hai ki prem andha hota hai. Lekin mai andhe prem ka vakil nahin hoon. Aap jise pyar karte hai agar aap uski galtiyon se bhi pyar karte hai tou sach ye hai ki aap use pyar nahin karte.Pankaj ke baare me aur un saare logon ke baare me jinhe mai pyar karta hoon mera yahi nazariya hai.

bhai anjvajay sahib,
aapke vichaar parmarjit evam soch darshane wale hain.jub mein kinder garten ki baat karta hun to mein baat pankaj ki nahi apni aur apne jaise un karoro aam logo ki karta hun jinhe urdu ya hindi and for that matter any litrature ke baare mein kuch pata hi nahi tha.
pankaj hon ya koi anya lekin ghazal ko popular karne mein in logon ka haath hei.kuch log khush nasib the ki jinhe allah ne itna zauk diya tha ki woh shayri ki behtar samajh paa sake varna kuch log kabhi jaan hi nahi paate ki hindustan ki matti mein aise pyare khayal bhi hein.
ummeed hei ki aap mera nazariya samajh rahe hein.i dont want to offend any thought process least of all if it is yours because i find u r an educated mind.lekin apne soch ko bandishon mein na jakrein aur saal do saal mein ek baar mei kashi bhi sune.if not for any pleasure than at least to know ki cheejein kahan taak giri ya uthi hein.kya khub kaha hei ki ranjishein hi sahi dil hi dukhaane ke liye aa
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
anjvajay
post Feb 12 2007, 09:54 PM
Post #266

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1210
Joined: 28-November 06
Member No.: 7705

Anandji,
Maine jo kuchh likha hai wo bina sune nahin likha hai.
Balki wo sab sun sun ke tang aa ke likha hai jisko saal do saal me sunane ki aapne sifarish ki hai.
Aur mujhe ranjish nahin hai likin us sab ko Pichhe Chhod Ke AA chuka hoon.

Main ye kattayi nahin kahata ki ghazal me 'mai' ka naam hi na aaye ya ghazal me saraab-bandi lagu kar di jay. 'Mai' ek alamat ke taur par ghazal me hamesha rahi hai. Lekin daal me namak ho tou achchi lagati hai,
magar namk me daal ho tou...

Pankaj ne jo kiya usase mujhe inkar na tha na hai lekin jab bhi kisi kalakar ke kaam me giravat aati hai tou sabse pahale uske chahane walon ko hi khatkti hai. Jaisa maine khud AH&MH ke album Kashish ke baare me pahale likha tha, ya is se bhi pahale isi thread me Anuragji ne album Zindagi ke baare me likha tha aur use Bibhasji ne kabul kiya tha:
http://www.hamaraforums.com/index.php?show...=4713&st=90

Imaandari ka takaza yahi hai.

Ek kalakar apne culture ka almbardar hota hai.Usme logo ke jauk ko badalne ki bhi koowat hoti hai.
Isliye ek kalakar agar aisi chize pesh karta hai jo satahi hon tou woh logon ke jauk ko bhi ghatiya banati jaati hai.Aaj ke Popular Culture ne yeh kaam bahut hi jayada kiya hai. Aur iske sikar hamre Ghazal Singar bhi rahe hai. Khud Pankaj ne ye baat ab mahsus ki hai aur abhi kuch dino pahle ek Interview me unhone classical shayaron par ek series nikalne ki baat kahi thi, jo ek achchhi khabar hai.
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
anand
post Feb 13 2007, 04:54 PM
Post #267

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1822
Joined: 30-November 06
Member No.: 7780

QUOTE(anjvajay @ Feb 12 2007, 09:54 PM) *

Anandji,
Maine jo kuchh likha hai wo bina sune nahin likha hai.
Balki wo sab sun sun ke tang aa ke likha hai jisko saal do saal me sunane ki aapne sifarish ki hai.
Aur mujhe ranjish nahin hai likin us sab ko Pichhe Chhod Ke AA chuka hoon.

Main ye kattayi nahin kahata ki ghazal me 'mai' ka naam hi na aaye ya ghazal me saraab-bandi lagu kar di jay. 'Mai' ek alamat ke taur par ghazal me hamesha rahi hai. Lekin daal me namak ho tou achchi lagati hai,
magar namk me daal ho tou...

Pankaj ne jo kiya usase na mujhe inkar na tha na hai lekin jab bhi kisi kalakar ke kaam me giravat aati hai tou sabse pahale uske chahane walon ko hi khatkti hai. Jaisa maine khud AH&MH ke album Kashish ke baare me pahale likha tha, ya is se bhi pahale isi thread me Anuragji ne album Zindagi ke baare me likha tha aur use Bibhasji ne kabul kiya tha:
http://www.hamaraforums.com/index.php?show...=4713&st=90

Imaandari ka takaza yahi hai.

Ek kalakar apne culture ka almbardar hota hai.Usme logo ke jauk ko badalne ki bhi koowat hoti hai.
Isliye ek kalakar agar aisi chize pesh karta hai jo satahi hon tou woh logon ke jauk ko bhi ghatiya banati jaati hai.Aaj ke Popular Culture ne yeh kaam bahut hi jayada kiya hai. Aur iske sikar hamre Ghazal Singar bhi rahe hai. Khud Pankaj ne ye baat ab mahsus ki hai aur abhi kuch dino pahle ek Interview me unhone classical shayaron par ek series nikalne ki baat kahi thi, jo ek achchhi khabar hai.

bhai anjavajay ji,
jub baat culture par aa jay to mein samajhta hun jo kuch t.v or usme bhi star tv serials paros rahe hein woh dahsatein paida karta hei.abhi haal mein ek bahut choti bachchi ke muh se saajish aur badla jaise haulnaak lafz sun kar mein sakte mein aa gaya tha.anjvajay ji aur bhi jiyada dukh is baat ka hei ki khuda se khauf ya pyar dono hi in corrupt logo ki wajah se khatam hota ja raha hei.koft bari bhari hoti hei likin jitna hum log kar rahe hein us se jiyada ki darkaar hei aisa mehsus bhi karta hun aur manta bhi hun
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
anjvajay
post Feb 13 2007, 10:02 PM
Post #268

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1210
Joined: 28-November 06
Member No.: 7705

Anandji,

Ab behatar hoga ki hum fir AH&MH par laut aaye warna hamare dost khafa ho jayenge.

Mujhe 'Shamakhana' ki ghazalon ki yaad aa rahi hai.

Meharbaani hogi agar koi dost ise upload kare...

User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
anand
post Feb 14 2007, 09:27 AM
Post #269

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1822
Joined: 30-November 06
Member No.: 7780

irshaad irshaad
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
bibhas
post Feb 14 2007, 09:18 PM
Post #270

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1721
Joined: 23-November 04
From: USA
Member No.: 1314

QUOTE(anjvajay @ Feb 13 2007, 11:32 AM) *

Anandji,

Ab behatar hoga ki hum fir AH&MH par laut aaye warna hamare dost khafa ho jayenge.

Mujhe 'Shamakhana' ki ghazalon ki yaad aa rahi hai.

Meharbaani hogi agar koi dost ise upload kare...

Anjvajay sahab aur Anand ji,
Aapka discussion maine bahut enjoy kiya. Thanks to Anurag (jo aajkal yahaan nazar hi nahi aata), mere collection mein "Shamakhaana" maujood hai. Kuch waqt dijiye, zaroor upload karoonga. Filhaal yeh sher yaad aa raha hai. Bashir Badr sahab ne kya khoob kaha hai:

Pathhar ke jigar waalon, gham mein yeh rawaani hai
khud raah bana lega, behta hua paani hai

Bibhas

A science that does not deliver us to the portals of metaphysics is a failed science and a religion that does not embrace physics is not grounded in reality.
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post

22 Pages V « < 16 17 18 19 20 > » 
Reply to this topicStart new topic
2 User(s) are reading this topic (2 Guests and 0 Anonymous Users)
0 Members:

- Lo-Fi Version | Disclaimer | HF Guidelines | Be An Angel Time is now: 17th April 2024 - 01:40 AM