Visit our other dedicated websites
Asha Bhonsle Geeta Dutt Hamara Forums Hamara Photos Kishore Kumar Mohd Rafi Nice Songs Shreya Ghoshal
Hamara Forums

Welcome Guest ( Log In | Register )

Jamal Sen

Reply to this topicStart new topic
> Jamal Sen
usrafian
post May 23 2012, 01:50 PM
Post #1

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 2707
Joined: 3-March 05
Member No.: 1776

Abhiney Ke Kshetra(area) Mein Jis Tarah Prithviraj Kapoor Ki Char Peedheeyon(generation) Ne Cinema Ki Seva Ki Hai, Usi Tarah Jamal Sen Ka Khandan Bhi Char Peedheeyon Se Film Sangeet Ke Srijan(creativity) Mein Juttaa Hai. Unke Is Yogdaan Ke Liye Dada Sahib Phalke Academy Ne Bhartiya Cinema Ke Sounve(100) Varsh Mein Pravesh Ke Avsar Par Unke Parivar Ko ‘Phalke Kalptaru Award’ Se Sammanit Kiya. Yeh Samman Unke Putra(Son) Dilip Sen, Potra(Grandson) Sameer Sen Aur Prapotra(Grand Grand Son)Sohel Sen Ne Sweekar Kiya. Jamal Sen Ne Bhale Kum Filmon Mein Sangeet Diya, Magar Unka Ek-Ek Geet Aaj Bhi Utna Hi Lokpriy Hai.
Attached Image

Kamal Amrohi Ki Meena Kumara Abhinit ‘Dayraa’ Ka Geet ‘Devta Tum Ho Mera Sahaara, Maine Thamaa Hai Daman Tumahara’ Ko Sangeet Premi Aaj Bhi Yaad Karte Hain. Kaif Bhopali Ka Likha Yeh Geet Unohone Mohammed Rafi, Mubaraq Begum and Korus Ki Awaaz Mein Mehaj Do(only Two) Microphone Ke Sahaare Record Kiya Tha.

Kamal Amrohi Ne ‘Pakeeza’ Ke Liye Bhi Jamal Sen Ko Sign Kiya Tha Aur Unohone Kuch Dhunen(Tunes) Bhi Taiyyar Ki Thiin Magar Ek Mujre Ko Jyon-Ka-Tyon(as it is) Record Kar Dene Ki Farmaish Huyee To Unohone Saaf Manaa Kar Diya Aur Film Chod Dee. Swabhimani Thhey Aur Akkhad Bhi.

Classical Music Mein Koi Unka Hath Nahin Pakad Sakta Tha. Bade Ghulam Ali Khan Unke Baare Mein Kahaa Karte Thhey Ki Ye ‘Suron Ka Bichhuu’ Hai, Itna Sahi Dank Marta Hai Ki Sunane Wale Par Madhoshi Chha Jaaye.

Sujangadh (Rajasthan) Mein Paida Huye Jamal Sen Ki Rag-Rag Mein Sangeeta Basaa Tha. Dada Kesar Sen Bataate Thhe Ki Unke Purvajon(Ancestors) Ne Tansen Se Sangeet Seekha Tha. Sangeet Ki Yeh Virasaat Kesar Sen Ne Apne Bête Jeevan Sen Ko Dee Aur Jeevan Sen Ne Apne Bête Jamal Sen Ko. Jamal Sen Kucch Din Shanti-Niketan Mein Sangeet Shikshak (Music Teacher) Rahe, Phir Radio Par Gaane Lage. Ek Din ‘Vande Matram’ Kya Gaa Diya, Angrez Peeche Pad Gaye. Bhoomigat(Under Ground) Ho Gaye Aur Chhupte-Chhupaate Lahor Pahuunche. Sangeetkar Shyam Sunder Ne Master Ghulam Haider Se Milvaayaa, Jo Un Dinon Pancholi Ki Filmon Mein Sangeet De Rahe Thhey. Ghulam Haider Ne Jamal Sen Ko Apna Sahaayak(Assistant) Banaa Liyaa. Baad Mein Unhin Ke Saath Mumbai Aaye. ‘Khajanchi’ Se Lekar ‘Majboor’ Tak Unke Saath Rahe. Desh Vibhajan(partition) Ke Baad Ghulam Haider Pakistan Chale Gaye Aur Jamal Sen Ke Samne Chunoti Aa Khadi Huyee.

Ek Din Achanak Kedar Sharma Mil Gaye, Jinohne Jamal Sen Se Kuch Rajasthani Lok Dhune Sunee Aur Unhen ‘Shokhiyan’ Ka Sangeet Nirdeshak Banaa Diya. Premnath Aur Suraiyya Abhinit Is Film Ka Har Geet Popular Huya. Chahe Lata Mangeshkar Ka Gaaya ‘Sapna Ban Sajan Aaye’ Ho Ya ‘Aayee Barkha Bahaar’ Ya Suraiyya Ki Gayee Ghazal ‘Raathon Ki Neend Cheen Lee, Raaton Ke Intejar Ne’. Kamal Amrohi Ne Vidhwa-Vivah Jaisi Ganbhir Samasyya Par Meena Kumara Ke Saath ‘Daayra’ Shuru Ki, Tou Sangeet Nirdeshan Ka Jimma Jamal Sen Ko Sonpa, Jisme ‘Devta Tum Ho Mera Saharaa’ Ke Alawa ‘Aansoo To Nahin Hain Ankhon Mein’ (Talat Mehmood) Aur ‘Deepak Ke Sang Jaloon Mein’(Mubaraq Begum) Bhi Popular Huaa. Bhagwan Dada Ki Film ‘Rangeela’ Mein Jamal Sen Ne Classical Style Mein Ekdam Alag Hatkar Sangeet Diya, S H Bihari Ka Likha ‘Naram-Naram Ye Garam-Garam Ye Chane’itna Popular Huaa Ki Juhu Beech Par Chana-Jor Garam Bechne Waale Hakron Ko Ye Kanthashta Ho Gaya Tha. ‘Patit Pavan’, ‘Baghdad’, ‘Dharmpatni’, ‘Amar Shahid’ Aur ‘Manchali’ Ke Geet Bi Popular Huye, Lekin Unki Pratibha Ka Vaisa Upyog Nahin Ho Paaya, Jiske Ve Hakdar Thhey. ‘Mughal-E-Azam’ Ke Nirman Ke Douran Proksh Roop Se(Directly) Unohne Kaafi Sahayog Diya Tha, Jisase Prasann Ho Kar K. Asif Ne ‘Sasta Khoon Menga Paani’ Mein Unse Sangeet Lene Ka Vaada Kiya Tha, Magar Dono Nahin Rahe.

Jamal Sen Ki Sangeet Parmapara Ko Unke Beton Shanbu Sen Aur Dilip Sen Ne Aage Badaaya. ‘Mrigtrishna’ Mein Shanbhu Sen Rachit Geet ‘Navkalpana Navroop Se Rachna Rachi Jab Naar Ki’ Unki Shisya Hem Malini Ko Itna Pasand Aaya Ki Rafi Ke Gaaye Is Geet Par Unohne Bina Kisi Shulk Ke(free of cost)) Nritya Kiya. Dilip Sen Ne Bhatije Sameer Sen Ke Saath Jodi Banai Aur ‘Ole Ole Ole’ Se Hit Hokar Karib 80 Filmon Mein Sangeet Diya. Sameer Ke Bete Sohel Sen Ne ‘Whats Your Rashi’ Se Khayati Paayi Aur ‘Mere Braother Ki Dulhan’ Ke Geet ‘Dhunki Dhunki Laagi’ Se Hit Hone Ke Baad Salmaan Khan Abhinit ‘Ek Tha Tiger’ Ka Sangeet De Rahe Hain Aur Jamal Sen Ke Sapnon Ko Sangeet Se Sajaane Mein Jude Hain.

Dil Shaad Tha Ke Phool Khilenge Bahaar Mein
Maaraa Gaya Garib Isee Aitbaar Mein
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
nandi
post May 24 2012, 07:26 PM
Post #2

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 2565
Joined: 4-June 08
From: Illinois,USA
Member No.: 55513

QUOTE(usrafian @ May 23 2012, 01:50 PM) *

Thank you very much for sharing this Biographical sketch of Jamal Sen. From what I have heard of his work, he was a very good musician. Somehow he never caught on with the big producers and could not be as prolific as some of his contemporaries.
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
surhall
post May 25 2012, 12:21 AM
Post #3

Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 6799
Joined: 4-November 03
From: Toronto-Canada
Member No.: 86

hi
thanks very good old is god ;
dhall
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
usrafian
post May 25 2012, 10:32 AM
Post #4

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 2707
Joined: 3-March 05
Member No.: 1776

QUOTE(nandi @ May 24 2012, 07:26 PM) *

Thank you very much for sharing this Biographical sketch of Jamal Sen. From what I have heard of his work, he was a very good musician. Somehow he never caught on with the big producers and could not be as prolific as some of his contemporaries.

Dear Nandi Ji

Thanks for the appriciation.

It is our(music lovers) bad-luck that Jamal Sahab couldn't get chance with big producers.
Also after getting recog he couldn't live more.

I assume that Rajasthani-folk tunes used in 'Pakeezah' was his contribution , recalling the enchanted song...
'Thhaade Rahiyo O Banke Yaar Re'

USR

Dil Shaad Tha Ke Phool Khilenge Bahaar Mein
Maaraa Gaya Garib Isee Aitbaar Mein
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
usrafian
post May 25 2012, 10:37 AM
Post #5

Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 2707
Joined: 3-March 05
Member No.: 1776

QUOTE(surhall @ May 25 2012, 12:21 AM) *

hi
thanks very good old is god ;
dhall

Dhall Sahab

My pleasur.

Shukriya

USR

Dil Shaad Tha Ke Phool Khilenge Bahaar Mein
Maaraa Gaya Garib Isee Aitbaar Mein
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post

Reply to this topicStart new topic
1 User(s) are reading this topic (1 Guests and 0 Anonymous Users)
0 Members:

- Lo-Fi Version | Disclaimer | HF Guidelines | Be An Angel Time is now: 25th April 2024 - 07:03 PM