Visit our other dedicated websites
Asha Bhonsle Geeta Dutt Hamara Forums Hamara Photos Kishore Kumar Mohd Rafi Nice Songs Shreya Ghoshal
Hamara Forums

Welcome Guest ( Log In | Register )

Sararrrrarrraa...holi Hai !!!!

, 'Holi' as in Song/Poetry

 
 
Reply to this topicStart new topic
> Sararrrrarrraa...holi Hai !!!!, 'Holi' as in Song/Poetry
usrafian
post Mar 1 2007, 01:00 PM
Post #1


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 2707
Joined: 3-March 05
Member No.: 1776



Holi Mumbarak
to
All Dear HF Members


Friends,

Let us see how our Lyricist & Poets have defined this colourful festival...



Horii Khelat Nandlaal
Biraj Mein
Horii Khelat Nandlaal.
Gvaal Baal Sang Raas Rachaaye
Natakhat Nandgopaal
Biraj Mein Horii Khelat Nandlaal.


Baajat Dholak Jhaanjh Manjiiraa,
Gaavat Sab Mil Aaj Kabiiraa,
Naachat De-De Taal,
Biraj Mein
Horii Khelat Nandlaal
Biraj Mein Horii Khelat Nandlaal.


Bhar Bhar Maare Rang Pichakaarii,
Rang Gaye Sab Brij Ke Nar Naarii,
Udat Abiir Gulaal,
Biraj Mein
Horii Khelat Nandlaal
Biraj Mein Horii Khelat Nandlaal.


Aisii Horii Khelii Kanhaaii
Jamunaa Tat Par Dhuum Machaaii
Raas Rachen Nandlaal,
Biraj Mein
Horii Khelat Nandlaal,
Biraj Mein
Horii Khelat Nandlaal
.


USR

Dil Shaad Tha Ke Phool Khilenge Bahaar Mein
Maaraa Gaya Garib Isee Aitbaar Mein
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
noorie
post Mar 2 2007, 02:16 AM
Post #2


Dedicated Member
Group Icon

Group: Away
Posts: 3219
Joined: 21-June 06
Member No.: 6518



clap1.gif clap2.gif

Beautifully done....thanx. bow.gif
A very happy Holi 2 u & all the HFer's 2.

Noorie

IPB Image

"During times of universal deceit, telling the truth becomes a revolutionary act"

"You have enemies? Good! It means that you stood up for something, sometime in your life."
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
usrafian
post Mar 2 2007, 01:54 PM
Post #3


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 2707
Joined: 3-March 05
Member No.: 1776



Noorie Ji

thanks for the appreciation.

Here is one more by ...

Zanaab Nazeer Akbarabadi sahab

Huaa Jo Aa Kay Nishaan Aashkaar Holi Ka
Bajaa Rubaab Say Mil Kar Sitaar Holi Ka
Surood, Raqs Huaa Beshumaar Holi Ka
Hansi Khushi Mein Baddha Karobaar Holi Ka
Zubaan Pay Naam Huaa Baar Baar Holi Ka

Khushi Ki Dhoom Say Her Ghar May Rang Banwaaiiey
Guulaal, Abeer Kay Bhar Bhar Kay Thhaal Rakhwaaiiey
Nashon Kay Josh Hooey Raag O Rang Thheraaiiey
Jhuumaktay Roop Kay Bun Bun Sawaang Dikhlaaiiey
Huaa Huujoom Ajab Her Kinaar Holi Ka

Gali Mein Koochay Mein, Gul Shor Ho Rahey Aksar
Phadakney Rang Lagey Yaar Her Ghadi Bhar Bhar
Badan Mein Bhheegay Hein Kapdey Guulaal Chehron Per
Machi Yeh Dhoom To Apney Gharon Say Khush Ho Kar
Tamaasha Dekhney Niklay Nigaar Holi Ka

Bahaar Kapron Ki, Her Ik Ko Jab Nazar Aayee
Her Ishq Baaz Nay Dil Ki Muraad Bhar Paayee
Nigah Larraa Kay Puukaara Her Aik Shaidaaii
Miyaan Yeh Tuum Nay Jo Poshaak Apni Dikhlaaii
Khoosh Aayaa Ab Hamein Naqsh O Nigaar Holi Ka

Tumharey Daikh Kay Muukh Per Guulaal Ki Laali
Hamarey Dil Ko Huyee, Her Tarah Ki Khoosh Haali
Nigah Nay Dee Mayye Guulrang Kee Bharee Piyaali
Jo Hans Kay Do Hamein Piyarey Tuum Iss Ghadee Gaali
To Hum Bhee Jaanein Kay Aisaa Hay Piyaar Holi Ka

Jo Kii Hay Tuum Nay Yeh, Holi Kee Tuurfa Tayaari
To Hans Kay Daikho Idhar Ko Bhee Jaan Yak Baari
Tumhaari Aan Bohat Hum Ko Lagti Hay Piyaari
Lagaa Di Haath Say Apnay Jo Aik Pichkaari
To Hum Bhee Daikhein Badan Per Singhaar Holi Ka

Tuumhaarey Milney Ka, Rakh Ker Hum Apney Dil Mein Dhiyaan
Khadey Hein, Aass Lagaa Ker Kay Daikh Lein Ik Aan
Yeh Khoosh Dili Ka Jo Thehra Hay Aan Ker Saamaan
Galey Mein Daal Kay Baanhein Khooshi Say Tuum Ay Jaan
Pehnaao Hum Ko Bhee Ik Dum Yeh Haar Holi Ka

Uudhar Say Rang Leeye Aao Tuum Idhhar Say Hum
Guulaal Abeer Malein Moonh Pay Ho Kay Khoosh Her Dum
Khooshi Say Bolein, Hansein , Holi Khel Kar Baahum
Bahut Dinon Say Hamein To Tumharey Sir Ki Qasam
Issi Umeed Mein Thaa, Intizaar Holi Ka

Buutoon Ki Gaaliyaan Hans Hans Kay Koii Sehtaa Hay
Guulaal Parta Hay Kapdon Say Rang Behtaa Hay
Lagaa Kay Ttakk Koii , Moonh Ko Daikh Rehtaa Hay
Nazeer, Yaar Say Apney Khada Yeh Kehtaa Hay
Maza Dikhaa Hamein Kuuchh Tu Bhee Yaar Holi Ka

Dil Shaad Tha Ke Phool Khilenge Bahaar Mein
Maaraa Gaya Garib Isee Aitbaar Mein
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
noorie
post Mar 3 2007, 12:21 AM
Post #4


Dedicated Member
Group Icon

Group: Away
Posts: 3219
Joined: 21-June 06
Member No.: 6518



Wah! Wah! wub.gif

All the colors of Holi seem 2 hav made its home in this 4rum b'coz of u US Rafian.

IPB Image

"During times of universal deceit, telling the truth becomes a revolutionary act"

"You have enemies? Good! It means that you stood up for something, sometime in your life."
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
kabir
post Mar 4 2007, 10:27 PM
Post #5


Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 188
Joined: 2-February 06
Member No.: 4604



Bohat khoob Usrafian jee,
Maza aa gaya aapki post dekh ke,,

Sabhi HF ke members ko meri janib se bhi Holi ki lakh lakh Badhaiiyaan!!
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post

Reply to this topicStart new topic
1 User(s) are reading this topic (1 Guests and 0 Anonymous Users)
0 Members:


 



- Lo-Fi Version | Disclaimer | HF Guidelines | Be An Angel Time is now: 25th April 2024 - 02:33 AM