Visit our other dedicated websites
Asha Bhonsle Geeta Dutt Hamara Forums Hamara Photos Kishore Kumar Mohd Rafi Nice Songs Shreya Ghoshal
Hamara Forums

Welcome Guest ( Log In | Register )

Khwaabon Ka Shehzaada - Sahir Ludhianvi

, on his 28th death anniversary

 
4 Pages V  1 2 3 > »   
Reply to this topicStart new topic
> Khwaabon Ka Shehzaada - Sahir Ludhianvi, on his 28th death anniversary
Rating  5
Anupama
post Oct 26 2008, 12:21 AM
Post #1


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 3693
Joined: 24-October 05
Member No.: 3042



Today is Sahir Ludhianvi's 28th death anniversary. Sahir once said, "Kal Aur Aayenge Naghmon Ki Khilti Kaliyaan Chun-ne Waale, Mujhse Behtar Kehne Waale, Tumse Behtar Sun-ne Waale", but how do we tell Sahir sahab that there hasn't been anyone who has proved to be a better poet than him. Talk about better, there isn't even anyone who has come close to Sahir Ludhianvi after him!
I wish he hadn't left us all so early. His presence and his thoughts would have made the Hindi Music World a better one. I pay tribute to this great poet! bow.gif

Attached Image

Itni Jaldi Bhi Kya Thi Sahir Tum Ko Jaane Ki
Kuchh Aur Talkhiyaan Dekh Lete Zamaane Ki______Anupama


I'm posting, along with his pictures, some Nazmz that Sahir Ludhianvi's friends wrote after his demise.



This post has been edited by Anupama: Oct 26 2008, 01:00 AM
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Anupama
post Oct 26 2008, 12:27 AM
Post #2


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 3693
Joined: 24-October 05
Member No.: 3042



Ba-Yaad-e-Sahir

Raah Takte Hain Teri, Deeda-e-Hairaan, Sahir
Le Gayi Tujhko Kahan Khwaab Ki Pariyaan, Sahir!

Zehar Peete Hain Hain Teri Yaad Mein, Ahbaab Tere
Haaye Kyon Chhod Gaya Mehfil-e-Yaaran, Sahir!

Ek Ek Karke Bujhe Jaate Hain Taare Saare
Yeh Nagar Dil Ka Hua Jaata Hai Veeran, Sahir!

Aashna Mujhko Kiya Rasm-e-Zunoon Se Tu Ne
Main Na Tha Pehle Kabhi Chaak-e-Girebaan, Sahir!

Khud Ko Dhanpa Hai Tere Gham Ki Kaba Se, Warna
Dil Bhi Naga Tha Tera, Rooh Bhi Uriyaan, Sahir!

Ishq, Pesha Tha Tera, Jisko Nibhaaya Maine
Chal Diya Tod Ke Tu Saare Hi Paimaan, Sahir!

Muntazir Aaj Bhi Hai Daawat-e-Shiraz Teri
Ban Ke Aaya Na Kabhi Tu Mera Mehmaan, Sahir!

Saltanat Aaj Luti, Meri Mohabbat Ki "Adeeb"
Chhin Gaya Mujhse Mera Takht-e-Sulemaan, Sahir!_________ Krishan Adeeb


Attached Image





User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Anupama
post Oct 26 2008, 12:31 AM
Post #3


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 3693
Joined: 24-October 05
Member No.: 3042



Woh Ek Beemar-e-Gham Jo Zindagi Bhar Kam Se Kam Soya
Na Woh Jee Bhar Ke Khud Soya, Na Koi Uska Gham Soya
Jo Soya Bhi Toh Goya Do Ghadi Lene Ko Dum Soya
Magar Ab Ke Woh Soya Apne Dard Ki Kha Kar Kasam Soya

Kabhi Pehle Nahin Thi Beqaraari Jo Usse Ab Thi
Yeh Uss Beemar-e-Gham Ke Jaagne Ki Aakhiri Shab Thi!

Usse Maloom Tha, Uska Lahu Hai Sard Hone Ko
Khila Tha Uska Chehra Aaj Ki Shab Zard Hone Ko
Dawa Thi Muntazir Uski, Sarapa Dard Hone Ko
Na Woh Khatir Mein Laaya Hasraton Ke Gard Hone Ko

Bhala Hasrat Koi Uss Naatwan Par Meharbaan Kab Thi
Yeh Uss Beemar-e-Gham Ke Jaagne Ki Aakhiri Shab Thi!

Jo Baaki Mai Thi Uski Zindagi Ke Aabgeene Mein
Woh Mai Usne Mila Di Maut Ke Thande Paseene Mein
Phir Uske Baad Ja Baitha Woh Ek Toote Safeene Mein
Utrana Tha Usse Dariya Ke Na-Humvaar Seene Mein

Woh Dariya Chand Barson Se Ravani Jiski Bedhab Thi
Yeh Uss Beemar-e-Gham Ke Jaagne Ki Aakhiri Shab Thi!

Ghazala Khoob Waaqif Hain Ke Maatam Ho Raha Hoga
Deewana Marr Gaya, Veeraana Usko Ro Raha Hoga
Woh Khud Hi Jaanta Tha Jo Bhi Gham Usko Raha Hoga
Magar Ab Chain Se Apni Lehd Mein So Raha Hoga

Suna Hai Jab Woh Soya, Muskurahat Zeenat-e-Lab Thi
Yeh Uss Beemar-e-Gham Ke Jaagne Ki Aakhiri Shab Thi!___________Qateel Shifai

Attached Image


User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Anupama
post Oct 26 2008, 12:35 AM
Post #4


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 3693
Joined: 24-October 05
Member No.: 3042



Tumhaare Shehar Mein Aaye Hain Hum, Sahir Kahan Ho Tum
Yeh Rooh-Peshi Tumhaari Hai Sitam, Sahir Kahan Ho Tum?

Tumhaare Ghar Mein Aa Kar Hum Kabhi Pyaase Na Jaayenge
Uthaao Jaam, Kar Lo Honth Nam, Sahir Kahan Ho Tum?

Puraane Doston Se Ho Gaye Kyon Itne Begaane
Pukaaro Toh Kahin Se, Kam Se Kam, Sahir Kahan Ho Tum?

Meri Nazaron Mein Mere Dost, Ek Mandir Hai Ludhiana
Yeh Mandir Aur Hum Iske Sanam, Sahir Kahan Ho Tum?____________Kaifi Azmi


Attached Image



User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Anupama
post Oct 26 2008, 12:36 AM
Post #5


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 3693
Joined: 24-October 05
Member No.: 3042



Yoon Toh Woh Zulmat Se Raha Dast-o-Garebaan Yaaron
Uss Se Khafa The Bahut Shab Ke Nighahbaan Yaaron!
Umr Bhar Usne Kiya Ishq Gham-e-Duniya Se
Uss Sa Hoga Na Koi Aashiq-e-Insaan Yaaron!
Uski Har Nazm Mein Dukh Dard Hai Insaanon Ka
Uss Ka Har Sher Hai Insaan Pe Ehsaan Yaaron!
Usne Har Gham Humein Honsla-e-Taaza Diya
Woh Na Ek Pal Bhi Raha Hum Se Gurezaan Yaaron!
Usko Har Haal Mein Jeene Ki Ada Aati Thi
Woh Na Halaat Se Hota Tha Pareshaan Yaaron!

Usko Thi Kashmakash-e-Daur-o-Haram Se Nafrat
Uss Sa Hindu Na Koi Uss Sa Musalmaan Yaaron!
Apne Aashar Ki Shammaon Se Ujaala Karke
Kar Gaya Sabka Safar Kitna Woh Aasaan Yaaron!
Usne Baatil Se Na Ta-Zeest Kiya Samjhauta
Dehar Mein Uss Sa Kahan Sahib-e-Imaan Yaaron!
Uske Geeton Se Zamaane Ko Sanwaaron, Aao
Rooh-e-Sahir Ko Agar Karna Hai Taaban Yaaron!____________Habib Jaalib


User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
parag_sankla
post Oct 26 2008, 12:37 AM
Post #6


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 14260
Joined: 8-May 06
From: SFO Bay Area, US
Member No.: 6005



Hi Anu

Thanks for remembering the great Sahir saahab on his Punya Tithi (this is how we call it in Maharashtra)

Parag

Please visit www.geetadutt.com
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Anupama
post Oct 26 2008, 12:38 AM
Post #7


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 3693
Joined: 24-October 05
Member No.: 3042



Ae Mere Daur Ke Shayer-e-Khushnawaa
Tujhko Paida Kiya Hai Mere Daur Ne
Mere Baad Aane Waalon Na Dekhoge Tum
Tumko Hasrat Rahegi Na Dekha Usse
Usne Bakshi Hai Sher-o-Adab Ko Ziyaa
Shayer-e-Khushnawaa
Yeh Mere Daur Ka Shayer-e-Khushnawaa!

Maine Dekha Hai Usko Har Ek Rang Mein
Rang Ban Kar Woh Har Gul Mein Hansta Raha
Uski Awaaz Ke Zer-o-Bam Se Sada
Mehfilon Ki Nikhrati Rahi Hai Fazaan
De Kar Usko Khilta Hai Rang-e-Hina
Shayer-e-Khushnawaa
Yeh Mere Daur Ka Shayer-e-Khushnawaa!

Uske Naghmon Se Shaam-o-Sehar Hai Haseen
Zindagi Ki Chamak Uske Aashar Mein
Ruk Gayi Chaaon Bhi Rukh Jidhar Ho Gaya
Shayer-e-Khushnawaa
Yeh Mere Daur Ka Shayer-e-Khushnawaa!

"Talkhiyaan" Uska Tohfa Hai Iss Daur Ka
Phool Deta Raha, Khaar Chunta Raha
Har Nayi Nasal Ka Jo Bane Jaan-o-Tan
Aadam-e-Nau Ke Woh Khwaab Bunta Raha
Aisa Tohfa Nahin Hai Koi Doosra
Shayer-e-Khushnawaa
Yeh Mere Daur Ka Shayer-e-Khushnawaa
Mere Baad Aane Waalon Na Dekhoge Tum
Tumko Hasrat Rahegi Na Dekha Usse!__________Sabar Dutt

User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Anupama
post Oct 26 2008, 12:39 AM
Post #8


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 3693
Joined: 24-October 05
Member No.: 3042



Jab Bhi Koi Gareeb Ki Beti
Zar-Parsaton Mein Bechi Jaayegi
Jab Bhi Muflis Kisaan Ki Kheti
Karz Ke Badle Chheeni Jaayegi

Jab Bhi Do Pyaar Karne Waalon Ko
Rasm-e-Duniya Na Raas Aayegi
Jab Bhi Ulfat Ke Beqaraaron Ko
Shaam-e-Tanhaai Bakhshi Jaayegi

Jab Bhi Ubharega Inqalaab Koi
Jab Bhi Jaagenge Zulm Ke Maare
Jab Bhi Uthega Bekason Ka Hujoom
Aur Badalenge Waqt Ke Dhaare

Surkh Parcham Uthaaye Haathon Mein
Tumko Apne Kareeb Paayenge
Sab Tumhaare Hi Geet Gaayenge!__________ Raina Sehri
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Anupama
post Oct 26 2008, 12:40 AM
Post #9


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 3693
Joined: 24-October 05
Member No.: 3042



Kahan Tu Kho Gaya Hai,Main Hoon Mehv-e-Justuzu, Sahir!
Nazar Aata Nahin Tu, Dekhta Hoon Char-Su, Sahir!

Sajegi Mehfilein Kaise, Bina Tere, Bata Tu Hi
Taraste Yaar Hain Sun-ne Ko, Teri Guftugu, Sahir!

Kahan Se Dhoondh Laaun, Nasheele Kehkahe Tere
Udaasi Mein Sabhi Doobe Hain Ab Jaam-o-Subu, Sahir!

Tujhe Toh Bhi Lagan Kal Ke Liye Kuchh Khwaab Bun-ne Ki
Humein Bekhwaab Karke So Gaya Kyon Aaj Tu, Sahir!

Tu Phir Se Mehfil-e-Yaaran Mein Aa, Phir Jaam Takraayein
Tu Rakh Le Aaj Apne Doston Ki Aabroo, Sahir!

Tera Fan Phool Hai, Haajat Nahin Jisko Bahaaron Ki
Rahenge Taza-Tar Iske Hamesha Rang-o-Bu, Sahir!

Kaza Ki Qaid Se Tu Bhaag Aaye Kya Nahin Mumkin
Tabiyat Toh Teri Thi Baaghiyana, Tund-Khu, Sahir!_________Aajaib Chitrakaar
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Anupama
post Oct 26 2008, 12:44 AM
Post #10


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 3693
Joined: 24-October 05
Member No.: 3042



Ab Na Sahir Hai Mere Paas, Na Ibne Insha
Ho Gaye Humse Juda Yaar Puraane Kya Kya
_______Krishna Adeeb


Sahir Ludhianvi with Jaan Nisaar Akhtar & B.S.Randhawa


Attached Image

User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Anupama
post Oct 26 2008, 12:47 AM
Post #11


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 3693
Joined: 24-October 05
Member No.: 3042



Sahir Ludhainvi with Shiv Kumar Batalawi

Attached Image


User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Anupama
post Oct 26 2008, 12:49 AM
Post #12


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 3693
Joined: 24-October 05
Member No.: 3042



Sahir Ludhianvi's college
Govt. College of Boys, Ludhiana.

Attached Image


User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Anupama
post Oct 26 2008, 12:51 AM
Post #13


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 3693
Joined: 24-October 05
Member No.: 3042



Sahir Auditorium, Ludhiana.

Attached Image

User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Anupama
post Oct 26 2008, 12:54 AM
Post #14


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 3693
Joined: 24-October 05
Member No.: 3042



Gulshan-e-Sahir, Ludhiana.

Attached Image

Sahir's house in Bombay, Parchhaiyaan!

Attached Image

Sahir sahab's Jacket & shoes

Attached Image
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Anupama
post Oct 26 2008, 12:58 AM
Post #15


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 3693
Joined: 24-October 05
Member No.: 3042



QUOTE(parag_sankla @ Oct 25 2008, 03:07 PM) *

Hi Anu

Thanks for remembering the great Sahir saahab on his Punya Tithi (this is how we call it in Maharashtra)

Parag



Hi Parag, Punya Tithi is a Hindi word too. Parag, I request you to play Sahir Ludhianvi's songs on HF radio as a tribute to this great man. Please let me know the time you'll be airing! Thanks! smile.gif
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post

4 Pages V  1 2 3 > » 
Reply to this topicStart new topic
1 User(s) are reading this topic (1 Guests and 0 Anonymous Users)
0 Members:


 



- Lo-Fi Version | Disclaimer | HF Guidelines | Be An Angel Time is now: 19th March 2024 - 01:34 PM