Visit our other dedicated websites
Asha Bhonsle Geeta Dutt Hamara Forums Hamara Photos Kishore Kumar Mohd Rafi Nice Songs Shreya Ghoshal
Hamara Forums

Welcome Guest ( Log In | Register )

My Favourite Songs

, Lyrics

 
18 Pages V « < 13 14 15 16 17 > »   
Reply to this topicStart new topic
> My Favourite Songs, Lyrics
Mohsin26
post Sep 15 2005, 02:53 AM
Post #211


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604




Song :Tum jo mil gaye ho to yeh lagta hai
Movie: HANSTE ZAKHM
Singer: MOHAMMED RAFI


Tum jo mil gaye ho
To yeh lagta hai
Ke jahan mil gaya
Ke jahan mil gaya

Ek bhatke huye rahi ko
Caravan mil gaya

Tum jo mil gaye ho
To yeh lagta hai
Ke jahan mil gaya
Ke jahan mil gaya

Baitho na door humse
Dekho khafa na ho
Baitho na door humse
Dekho khafa na ho
Kismat se mil gaye ho
Milke jooda na ho
Kismat se mil gaye ho
Milke jooda na ho
Meri kya khata hai
Hota hai yeh bhi
Ke zamee se bhi kabhi
Aasama mil gaya
Ke jahan mil gaya

Tum kya jaano tum kya ho
Ek soorila nagma ho
Bheegi raaton me masti
Tapte din me saaya ho
Tum kya jaano tum kya ho
Aab jo aa gaye ho
Jaane na doonga
Ke mujhe ek hasin
Mehrabaan mil gaya
Ke jahan mil gaya

Tum jo mil gaye ho
To yeh lagta hai
Ke jahan mil gaya
Ke jahan mil gaya

Tum bhi the khoye khoye
Mein bhi boojha boojha
Tum bhi the khoye khoye
Mein bhi boojha boojha
Tha ajnabi zamana
Apna koi na tha
Tha ajnabi zamana
Apna koi na tha
Dil ko jo mil gaya hai tera sahara
Ek nayi zindagi ka nishan mil gaya

Tum jo mil gaye ho
To yeh lagta hai
Ke jahan mil gaya
Ek bhatke huye rahi ko
Caravan mil gaya
Tum jo mil gaye ho
To yeh lagta hai
Ke jahan mil gaya

The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
qhabibi
post Sep 27 2005, 01:07 PM
Post #212


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1543
Joined: 7-November 03
From: Islamabad, Pakistan
Member No.: 94



Yaar Mohsin Please Share The lyrics Of Rafi & Asha Duet

Song:Yeah Khamoshian Yeah Tanhayan
Mohabbat Ki Duniya Hai Kitni Jawan

Film: Yeah Raaste Hain Pyar Ke


I Will Wait For Your Reply Monto

..............QHabibi Most Wanted....................
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Oct 5 2005, 12:04 PM
Post #213


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604



yeh Lijiye Qasim Bhaiyaa.... biggrin.gif biggrin.gif


Song :Yeh Khamoshiyan Yeh Tanhaiyan
Movie: YEH RASTE HEIN PYAR KE
Singer: MOHD RAFI, ASHA BHONSLE




Rafi: yeh khamoshiyaan yeh tanhaaiyan
mohabbat ki duniya hai kitni jawaan

Asha: yeh khamoshiyaan yeh tanhaaiyan
mohabbat ki duniya hai kitni jawaan

Both: yeh khamoshiyaan yeh tanhaaiyan

Asha: aa aa aa aa o ho ho
Rafi: aa ha
Asha: aa aa
Rafi: aa ha ha
Asha: o ho
Rafi: ho ho ho ho ho ho

Asha: yeh sardi ka mausam badan kaanpe thar-thar
Rafi: yeh hai barf ke dher ya sangemarmar
Both: banaa le na kyon apni jannat yahaan
Rafi: yeh khamoshiyaan
Asha: aaa aaa aaa
Rafi: yeh tanhaaiyan
Asha: aaa aaa aaa
Rafi: mohabbat ki duniya hai kitni jawaan
Both: yeh khamoshiyaan yeh tanhaaiyan

Rafi: yeh oonche pahaado ke magroor saaye
Asha: yeh kehte hai unko nazar to milaaye
Both: farishte bhi hai iss jagah bezubaan
Asha: yeh khamoshiyaan yeh tanhaaiyan
mohabbat ki duniya hai kitni jawaan
Both: yeh khamoshiyaan yeh tanhaaiyan

Rafi: na parda hai koyi na hai koyi chilman
Asha: jahaan paanv rakh de hai phislan hi phislan
Both: kadam chhodte ja rahe hai nishaan
Both: yeh khamoshiyaan yeh tanhaaiyan
mohabbat ki duniya hai kitni jawaan
yeh khamoshiyaan yeh tanhaaiyan

Rafi: aa aa aa aa
Asha: aaa aa aaa ha
Both: aa aa aa aa
--------------------------------
Enjoy tongue.gif

The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Oct 6 2005, 05:38 AM
Post #214


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604





Song :Ankhiya Bhool Gayi
Movie: GOONJ UTHI SHAHNAI
Singer: LATA MANGESHKAR, GEETA




hoy akhiyaan bhool gayi hain sona
chorus : hoy hoy hoy
geeta : dil pe hua hai jaadu tona
chorus : a haay
geeta : shehnaai waale teri shehnaai re karejwa ko
cheer gayi cheer gayi cheer gayi
chorus : hoy akhiyaan bhool gayi hain sona
dil pe hua hai jaadoo-tona
shehnaai waale teri shehnaai re karejwa ko
cheer gayi cheer gayi cheer gayi
hoy akhiyaan bhool gayi hain sona

geeta : ab din ye kaise gori aaye
chorus : kaise gori aaye
geeta : chhup-chhup ke milan man bhaaye
chorus : milan man bhaaye
geeta : sakhiyon se kaahe ab chori
chorus : kaahe ab chori
geeta : bandh gayi re preet ki dori
chorus : preet ki dori
geeta : koi julmi sanwariya ki tirchhi najariya
ho maar gayi maar gayi maar gayi
chorus : hoy akhiyaan bhool gayi hain sona
dil pe hua hai jaadoo-tona
shehnaai waale teri shehnaai re karejwa ko
cheer gayi cheer gayi cheer gayi
hoy akhiyaan bhool gayi hain sona

lata : sakhiyaan na maaro mohe taane
jisko na laagi wo kya jaane
sakhiyaan na maaro mohe taane
cho : achha ji
lata : jisako na laagi wo kya jaane
chorus : hoon hoon
lata: o o o o
bhool jaaogi bhool jaaogi
bhool jaaogi karana ye thitholi
koi mil gaya jo hamjoli
kaise bach ke rahogi
aahen bhar ke kahogi
main to haar gayi haar gayi haar gayi
chorus : hoy
geeta : akhiyaan bhool gayi hain sona
dil pe hua hai jaadoo-tona
shehanaai waale teri shehanaai re kalejwa ko
cheer gayi cheer gayi cheer gayi
chorus : hoy akhiyaan bhool gayy hain sona

geeta : aapas mein milte deewaane
geeta : aur hamse ho rahe bahaane
chorus : aur hamse ho rahe bahaane
geeta : chitwan kamaan pe jo taane
wo baan hamane pahachaane
chorus : wo baan hamne pehchaane
geeta : najaron ki ye ghaatein
chori chori mulaaqaatein
ham jaan gayi jaan gayi jaan gayi
chorus : hoy akhiyaan bhool gayi hain sona
dil pe hua hai jaadoo-tona
shehnaai waale teri shehnaai re karejawa ko
cheer gai cheer gai cheer gai
hoy akhiyaan bhool gayeen hain sona

The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Oct 6 2005, 05:39 AM
Post #215


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604





Song :Teri Shehnaai Bole
Movie: GOONJ UTHI SHAHNAI
Singer: LATA MANGESHKAR, MOH. RAFI




teri shahanaai bole
sun ke dil mera dole
julmi kaahe ko sunaaye aisi taan re
baadal ghir ghir aaye
paapi papeehara gaaye
kaise bas mein rahe meri jaan re


bairi ban ke ye duniya khadi hai -
mere paanvon mein bedi padi hai
kin ghadiyon mein ankhiyaan ladi hain
baaron maheene saawan ki jhadi hai
ik pal mukhada dikha ja
dil ka dukhada mita ja
tujh bin soona soona mera hai jahaan re

teri shahanaai bole
sun ke dil mera dole
julmi kaahe ko sunaaye aisi taan re

aaja kab se main tujhako bulaauun
tere pyaar ke sapane sajaaoon
jiya chaahe ke ud ke main aaoon
piya pankh kahaan se main laaoon
main yahaan tu vahaan
beech mein hai jahaan
kaise poore hon ab armaan re

baadal ghir ghir aaye
paapi papeehara gaaye
kaise bas mein rahe meri jaan re
teri shahanaai bole
sun ke dil mera dole
julmi kaahe ko sunaaye aisi taan re

The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
qhabibi
post Oct 6 2005, 04:38 PM
Post #216


Dedicated Member
Group Icon

Group: Members
Posts: 1543
Joined: 7-November 03
From: Islamabad, Pakistan
Member No.: 94



Song :Yeh Khamoshiyan Yeh Tanhaiyan
Movie: YEH RASTE HEIN PYAR KE
Singer: MOHD RAFI, ASHA BHONSLE



Thanks Monto For Sharing These Lyrics With Me. You Have Saved Me From many Deep Troubles Thanks Thanks.You Know This Song Is Now a days Favourite Song Of Amma Jaan.

..............QHabibi Most Wanted....................
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Oct 23 2005, 01:14 PM
Post #217


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604



Song :haule-haule
Movie: GOONJ UTHI SHAHNAI
Singer: LATA MANGESHKAR, MOH. RAFI




la : haule-haule
o haule-haule ghoonghat-pat khole balamwa bedardi
haule-haule
ko : haule-haule ghoonghat-pat khole balamawa bedardi
haule-haule
la : e maane na maane na
zulmeen sainyaan pakade bainyaan haay daiya
hiya mora dole haule-haule

ra : bhole-bhole
haay bhole-bhole zahar kaahe ghole nayanawa bedardi
bhole-bhole
ko : bhole-bhole zahar kaahe ghole nayanawa bedardi
bhole-bhole
ra : are dekho ji dekho ji
dil ki chori kar ke gori ye chhori
meethi meethi bolen bole-bole

la : haule-haule ghoonghat-pat khole balamawa bedardi
haule-haule

ko :

la : ha
bedardi bedardi bedardi
ra : roop kaisa diya hai tujhe raam ne
chaand sharamaaye gori tere saamane
la : kiya hamako badanaam tere naam ne
mera daaman kyon aaye ab thaamane
ko : tak dhina dhin tak dhina dhin tak dhina dhin
la : daalo na daalo na
jaadu ka dora chhaliya chhora man mora
khaaye hichakole haule-haule
ko : bhole-bhole zahar kaahe ghole nayanawa bedardi
bhole-bhole

ra : ho
saajaniya saajaniya saajaniya
la : dekho aankhen milaao dekh-bhaal ke
zara samajho ishaare meri chaal ke
ra : haay
lachakaao kamar ye sambhaal ke
rakh dogi kaleja nikaal ke
haay
ko : tak dhina dhin tak dhina dhin tak dhina dhin
ra : ho jhanan-jhanan
jhaanjhar jhamake bijali chamake tham-tham ke
bhadake dil mein shole bhole-bhole
ko : haule-haule ghoonghat-pat khole balamawa bedardi
haule-haule

The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Oct 23 2005, 01:16 PM
Post #218


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604




Song :jeevan mein piya
Movie: GOONJ UTHI SHAHNAI
Singer: LATA MANGESHKAR, MOH. RAFI




jeevan mein piya tera saath rahe
haathon mein tere mera haath rahe
jeevan mein piya tera saath rahe

jab tak sooraj chanda chamake
ganga jamuna mein bahe paani
rahe tab tak preet amar apani
hai ye janam janam ki deevaani
o raani yaad milan
o ji ho o o o
o raani yaad milan ki ye raat rahe
haathon mein tere mera haath rahe ...

shringaar bhara piya pyaar tera
jhankaar kare hai mere kangana mein
lagi jab se lagan mere man mein sajan
shahanaai baje hai mere angana mein
o piya yaad milan
o ji ho o o o
o piya yaad milan ki ye raat rahe
haathon mein tere mera haath rahe ...


The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Oct 23 2005, 01:17 PM
Post #219


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604



Song :Keh Do Koi Na Kare
Movie: GOONJ UTHI SHAHNAI
Singer: MOH. RAFI




Kah do koi na kare yahaan pyaar
is mein kushiyaan hain kam
beshumaar hain gam
ek hansi aur aansu hazaar
kah do koi na ...

preet patanga deeye se kare
usaki hi lau mein vo jal-jal mare
mushkil raahen yahaan
ashk aur aahen yahaan
is mein chain na koi karaar
kah do koi na ...

hamane to samajha tha phool khile
chun-chun ke dekha to kaante mile
ye anokha jahaan
haradam dhoka yahaan
is veeraane mein kaisi bahaar

kah do koi na kare yahaan pyaar

The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Oct 23 2005, 01:18 PM
Post #220


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604




Song :main ne peena seekh liya
Movie: GOONJ UTHI SHAHNAI
Singer: MOH. RAFI




main ne peena seekh liya
paap kaho ya punya kaho
main ne peena seekh liya

ek chhavi thi laakhon mein, aan basi in aankhon mein
ek kali muskaai thi, mann bhauren ko bhayi thi
ek din pyaar ka phool khilaa, mere sur ko geet mila
kismat laayi rang naye, sur chhoote aur geet gaye

beech bhanvar toone chhodaa, mere prem se munh moda
pyaar pe aisa vaar kiyaa, uf jeenaa, uf jeena dushvaar kiya
ab sharaab ne saath diya to, tujh bin jeena seekh liya
main ne peena seekh liya ...

log kahen kyon peete ho, man kahata kyon jeete ho
jeene ki koi chaah naheen, marane ki koi raah nahi
jeevan hai jab rog yahaan, bolo isaki dava kahaan
pyaar ke jaan na peete ham, khokar hosh na paate gam

hamane manzil dhoondhi thee, lekin qismat roothi thi
raah mein saathi chhoot gayaa, thes lagi dil toot gaya
ab to inhi nashe ke dhaagon, se dil seena seekh liya
main ne peena seekh liya ...


The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Oct 23 2005, 01:20 PM
Post #221


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604




Song :bikhar gaye bachapan ke sapane
Movie: GOONJ UTHI SHAHNAI
Singer: MOH. RAFI




bikhar gaye bachapan ke sapane
aramaanon kee shaam dhale
kahee saje baaraat kisee kee
kahee kisee kaa pyaar jale

kah do koee naa kare yahaa pyaar
is mein khushiyaa hain kam beshumaar hain gam
yek hasee aaur aansoo hajaar

pareet patangaa diye se kare
us kee hee lau mein wo jal jal mare
mushkil raahe yahaa, ashk aaur aahe yahaa
is mein chain nahee, naa karaar

hum ne to samazaa thaa fool khile
chun chun ke dekhaa to kaante mile
ye anokhaa jahaan, haradam dhokhaa yahaa
is wiraane mein kaisee bahaar

The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Oct 23 2005, 01:21 PM
Post #222


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604



Song :rok sake naa raah humaaree
Movie: GOONJ UTHI SHAHNAI
Singer: LATA MANGESHKAR, MOH. RAFI




rok sake naa raah humaaree, duniyaan kee deewaar
saath jiyenge, saath marenge, amar humaaraa pyaar

jeewan mein piyaa teraa saath rahe
haathon mein tere meraa haath rahe

singaar bharaa piyaa pyaar teraa
zanakaar kare ho mere kanganaa me
lagee jab se lagan mere man mein sajan
shahanaaee baje ho mare anganaa me
saragam sadaa barasaat rahe

jab tak sooraj chandaa chamake
gangaa jamunaa mein bahe paanee
rahe tab tak pareet amar apanee
hai ye janam janam kee diwaanee
raanee yaad milan kee ye raat rahe

The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Oct 23 2005, 01:22 PM
Post #223


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604



[color=blue] Song :tere soor aaur mere geet
Movie: GOONJ UTHI SHAHNAI
Singer: LATA MANGESHKAR


tere soor aaur mere geet dono milakar banegee pareet

dhadakan mein too hain samaayaa huaa, khayaalon mein too hee too chhaayaa huaa
duniyaa ke mele mein laakhon mile, magar too hee too dil ko bhaayaa huaa
mai teree jogan too meraa meet dono milakar banegee pareet

muz ko agar bhool jaaoge tum muz se agar door jaaoge tum
meree mohabbat mein taasir hai, to khinchake mere paas aaoge tum
dekho humaaree hogee jeet dono milakar banegee pareet
dekho humaaree hog jeet

The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Oct 23 2005, 01:24 PM
Post #224


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604



Song :toot gayaa, toot gayaa
Movie: [color=blue] GOONJ UTHI SHAHNAI
Singer: LATA MANGESHKAR



toot gayaa, toot gayaa
dil kaa khilaunaa, haye toot gayaa, koee looteraa aa ke loot gayaa

huaa kyaa kusoor ayesaa saiyyaa humaaraa, jaate huye jo toone humei naa pukaaraa
ulafat kaa taar todaa, humei mazadhaar chhodaa
hum to chale the le ke teraa hee sahaaraa
saathee humaaraa hum se chhoot gayaa

kaisee paradesee too ne pareet lagaayee, chain bhee khoyaa, hum ne nind gawaayee
teraa ayetabaar kar ke, haaye intajaar kar ke
khushiyon ke badale gam kee duniyaan basaayee
jaalim jamaanaa hum se ruthh gayaa

The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post
Mohsin26
post Oct 23 2005, 01:29 PM
Post #225


Dedicated Member
Group Icon

Group: Angels
Posts: 1596
Joined: 12-July 04
From: Lahore , Pakistan
Member No.: 604



Song :Daga Daga Vai Vai
Movie: KALI TOPI LAL RUMAL
Singer: LATA MANGESHKAR




dagaa dagaa vai vai vai
dagaa dagaa vai vai vai
ho gayi tumse ulfat ho gayi) -
dagaa dagaa vai vai vai

yuu hi raahon mein khade hain tera kya lete hain
dekh lete hain jalaa dil ki bujhaa lete hain
aaye hain duur se ham
tere milne ko sanam
chekunam, chekunam, chekunam

dagaa dagaa vai vai vai ...

jaan jalti hai nazar aaise churaaya na karo
ho gareebon ke dukhe dil ko dukhaya na karo
aaye hain door se ham
tere milne ko sanam
chekunam, chekunam, chekunam

dagaa dagaa vai vai vai ...

ham kareeb aate hain tum aur judaa hote ho
lo chale jaate hain kaahe ko Khafaa hote ho
ab nahi aayenge ham
tere milne ko sanam
chekunam, chekunam, chekunam

dagaa dagaa vai vai vai ...

The Nightingale
User is offlineProfile CardPM
Go to the top of the page
+Quote Post

18 Pages V « < 13 14 15 16 17 > » 
Reply to this topicStart new topic
1 User(s) are reading this topic (1 Guests and 0 Anonymous Users)
0 Members:


 



- Lo-Fi Version | Disclaimer | HF Guidelines | Be An Angel Time is now: 23rd July 2025 - 12:24 PM